Pages

Monday 8 August 2011

Asqaat e Hamal

Abortion

Har hamal normal andaz mein paya e takmeel tak nahin pohonchta 10% haamla aurton kay bachey fitri tor per zaya ho jatey hain isey aam zuban mein miscarriage kehtey hain mukhtalif research sey ma'aloom hua hai kay 75% miscarriages hamal kay pehley teen maheenon mein hotey hain, miscarriage honey waley bachon ki aksaryat normal nahin hoti isliye qudrat unhein khud hi zaya kar kay waledaen ko bari pareshani sey bacha leti hai. Miscarriage aur bachpan mein faut honay waley bachon mein aksaryat larkon ki hoti hai.

Agar bachey ko khud zaya kya jaey ya doctor ki madad sey zaya karwaya jaey to isey abortion kaha jata hai. Abortion ki ka'ee wajoohaat hain amooman naja'ez bachey zaya karwaey jatey hain ba'az auqaat aurat ya khandaan mazeed bachey nahin chahtey magar aurat haamla ho jati hai isliye bhi bachey zaya kardiye jatey hain. Isi tarah ba'az aurton ko betey ki khwahish hoti hai magar mukhtalif tests sey maan ko maaloom ho jata hai kay woh larkey ki bajaey larki ko paal rahi hai to iss surat mein bhi abortion kara li jati hai. Meri ek client khatoon bohut der kay ba'ad haamla huiin unn kay bachey barey barey they ab unko naey bachey ki aamad sey sharmindagi ho rahi thi to unhon ney abortion kara liya jo kay beta tha phir unhein shadeed ehsaas e gunah hua kay

No comments:

Post a Comment