Pages

Monday 8 August 2011

Birth Control Methods - Withdrawal In Islam

hai iss mein fard sex sey lutf andoz nahin hota kyun kay uska dhayan inzal ki taraf hi rehta hai lutf ki taraf kam ta'hum iss kay koi burey asraat nahin.

Allah kay nabi kay daur mein sahaba karaam uzul kartey thay Hazrat Jabir farmatey hain kay hum uzul (withdrawal) kartey thay aur Quran majeed kay nuzool ka silsila jari tha (bukhari) ek doosri hadees mein Hazrat Sufyan wazahat farmatey huey kehtey hain agar yeh koi aisi cheez hoti jis sey mana kya jana zaroori hota to Quran majeed hum ko iss sey mana karta (muslim) ek aur hadees mein rivayat hai kay sahaba ney uzul kay barey mein huzoor sey sawal kya kay uzul karna kaisa hai? Aap ney farmaya kay kya tum aisa kartey ho teen baar yehi farmaya phir farmaya kay jo jaan qayamat tak dunya mein aaney wali hai woh zaroor aaey gi. (bukhari)

Inn ahadees sey sabit hota hai kay islam mein uzul (withdrawal) sey mana nahin kya gayadoosrey uzul kay bawajood bacha paeda hosakta hai yani yeh ek 100% kamyaab tareeqa nahin mazkoora aur ba'az doosri ahadees ki roshni mein fuqha'a ki ek jama'at ney uzul ko jaez qarar diya hai jab kay ba'az doosrey fuqha'a ney isey makruh qarar diya hai. Condom ka istaemal iss kay mushabeh hai isliye ba'az ulma kay nazdeek zabt e wiladat (birth control) ki gunjae'sh nikalti hai jab kay ba'az doosrey ulma kay nazdeek islam mein birth control ki ijazat nahin.

No comments:

Post a Comment