Pages

Monday 8 August 2011

Body Changes During Puberty

Baloghat (puberty) mein bachon kay jism mein haerat angaez tabdeeliyan ru numa hoti hain. Qadd, wazen aur a'aza mein tezi sey izafa hota hai. Yeh izafa larkon mein 13 sey 15 saal ki umer kay darmiyan hota hai. Iss daur mein inn kay qadd mein kam o baesh 8 inch ka izafa ho jata hai aur wazen 40 pound tak barh jata hai. Larkiyon kay qadd mein 11 sey 13 saal ki umer kay darmiyan 5, 6 inch ka izafa ho jata hai. Iss kay ba'ad qadd aur wazen barhney ki raftaar sust ho jati hai. Haddiyon mein phelao aa jata hai, kandhey khuley ho jatey hain.

Iss daur kay aaghaz sey hi bachon kay jism mein aisi tabdeeliyan honay lagti hain jin sey mard aur aurat mein farq wazeh ho jata hai. Larkon kay gaal per baal aaney shuru ho jatey hain, larkiyon ki chaatiyan ubharney lagti hain, baghlon kay elawa donon kay zer e naaf baal ugg aatey hain. Donon kay liye zer e naaf baal saaf karna sunnat hai. Larkiyon menses) ka khoon aana shuru ho jata hai aur larkon ko (nocturnal ejaculation) honay lagta hai. Iss daur mein larkiyan, larkon ki nisbat zyada dilkash nazar aati hain. Ab donon jinsi aur azdawaji faraez ada karney kay qabil ho jatey hain.

Taaza tareen research kay mutabiq America mein larkiyon mein baloghat ka aaghaz 8 ta 13 saal ki umer kay doran chatiyon kay ubharney sey hota hai. Iss doran unn kay hips aur buttocks bhi barhney lagtey hain. Chaatiyon kay ubharney kay kuch arsa ba'ad zer e naaf baal aa jatey hain. 2 saal ba'ad baghlon mein baal aaney lagtey hain. Taqreeban 13 saal ki umr mein larkiyon ko pehli mahwari aati hai magar larki uss waqt tak nahin hoti jab tak

No comments:

Post a Comment