Pages

Monday 8 August 2011

Estrogen Replacement Therapy - Sex And old Age

salahiyat rakhti hai jo woh 30 saal ki umar mein rakhti thi. Inn haalaat mein kamyaabi kay kaee tariqey hain le'haza mayoos na hun ba'az doctor menopause kay ba'ad khawateen ko tajweez kartey hain ek saada hal yeh hai kay faraj ki ratoobat ki kami ko poora karney kay liye jaraseem sey paak masnooee chiknaahat istaemaal ki ja sakti hai yeh baat bhi samney aaee hai kay iss masley ki bari wajah jinsi sargarmi maslan mubashrat waghaera ki kami hai. Master aur Johnson ki tehqeeq kay mutabiq woh aurtein jin ki jinsi sargarmi kam ho (ek maah mein ek baar ya kam) aur woh baqaeda bhi na karti hun to 60 saal ki umar kay ba'ad woh mubashrat mein takleef mehsoos karti hain aur woh aurtein jo baqaeda mubashrat karti hain (haftey mein ek ya do baar) un ko mubashrat mein koi takleef na hogi. Iss liye Master & Johnson iss baat per zor detey hain kay khawateen ko inn aur ba'az doosri wajoohaat ki wajah sey zyada umar mein bhi baqaedgi sey sex karni chahiyie. Le'haza burhapay mein jinsi amal ko jari rakhney ka inhisaar saabqa jinsi sargarmiyon aur ba'az doosri nafsiyati wajoohaat per hai mard aur aurat donon kay liye jismani wajoohaat ka kirdaar zyada ahem nahin.

Burhapey mein mardon mein bhi testosterone ki paedawar mein kami aa jati hai jis ki wajah sey mard ko pehlay ki tarah (instant erection) nahin hota bul kay iss umar mein amooman tanau (erection) der sey aata hai mardon ko iss silsiley mein pareshan honay ki zaroorat nahin kyun kay yeh ek bilkul fitri amar hai iss sey biwi yeh nateejah na nikaley kay mian ko tanau ka koi masla hai. Khawateen ko yeh ilm bhi hona chahiyie kay ba'az auqaat mardon ko tanau kay liye biwi ki madad ki zaroorat hoti hai yani biwi ko tana'u kay liye mard kay zakar ko mushta'el karna hoga yeh bhi ek normal cheez hai

No comments:

Post a Comment