Pages

Monday 8 August 2011

Family Discipline - Khandaan Ka Nazm o Zabt

Jadeed nafsiyat bhi ab iss usool ki ahmiyat ko tasleem karti hai yani hum amooman unn logon ko pasand kartey hain jo humari tarah hun khusoosun nasal, qaum, mua'ashi aur mua'asharti maqam kay lehaz sey zahir hai shaadi pasand kay logon kay sath hi ki jati hai.

ko barqaraar rakhney kay liye mia'n biwi mein sey ek ka sarbaraah hona zaroori hai agar donon bilkul masawi darja aur ikhtiyaraat rakhtey hun to khandaan badnazmii ka shikar ho jaey ga, chuna'ncha irshad-e-Rabbani hai: "Mard aurton per qawam (hakim) hain iss bina per kay Allah ney ek ko doosrey per fazeelat dii hai aur iss bina per kay woh apney amwaal kharch kartey hain pus jo naek aurtein hain woh shohro'n ki ita'at karney wali aur unki ghaer mojoodgi mein ba toufeeq-e-Ilahi unn kay huqooq ki hifazat karney wali hoti hain" (Surah Al.Nisa : 34) yani Allah ney mard ko aurton per qawam qarar diya hai. Qawam se muraad hai Provider Sustainer muhafiz, sarbarahkaar, sarbaraahi kay liye mard hi munasib hai., jo jismani lehaz se aurat se tawana hai, jo masa'il ko hul karney ki fitri salahiyat rakhta hai. Iss kay dimagh ka wazan ausatan aurat se 5 ounce zyada hai yani amooman mard jismani aur zehni lehaz se nisbatan afzal hai. Isi liye sarbaraahi isey sounpi gaii hai kay woh khandaan ko tahaffuz dey aur uski tamam zarooriyat ko poora karey aur khandaan ki kifalat karey lehaza ghar mein hukum bhi usi ka chaley ga.

Iss paragraph ko parh kar ba'az taraqqi pasand khawateen kahein gi kay ghar per khawand ka hokum chalney ki baat mua'ashrey kay dhakosla hai, haala'n kay yeh aam usool hai kay jo kisi ki kifalat karey ga (ya tunkhwa'h dey ga) hukum bhi usi ka chaley ga, kya kabhi aisa hota hai kay kifalat karney wala apne mulazim ka hukum maaney.

No comments:

Post a Comment