Pages

Monday 8 August 2011

Family Problems Solving - Gharelu Masail

55. Week mein ek bar aap donon bachun ke baghaer zaror bahir nikaleyn. Bahir khana khain, icecream khain, mard ke liye ghar sukoon ki jaga hai magar aurat ke liye ghar kam kaaj ki jaga hai. Biwi ko ghar sey bahir nikal kar sukoon milta hai, kuch hours kisi park mein guzarain. Gup shup lagain magar larai wali baatein naa karein. 3months kay bad ek raat kisi hotel mein guzarain. Agar possible ho to year mein ek bar ek week ke liye poori family ke saath outing ke liye kisi favorite jaga chaley jayen.

56. Saas bahoo ka jhagra hamari society ka lazmi part hai. Saas bahoo kay jhagrai mein biwi sey hamdardi karein, tasalli dein, biwi ki tarafdari karein. Agar ghalti biwi ki ho to us ko piyar sey samajhain. Agar ghalti maa ki ho to aap iss ka aetiraaf karein. Biwi ko baatein ke woh aap ki mother hain iss liye aap un ko kuch nahi keh sakte. Agar moqa miley to softly mother ko samajhanay ki koshish karein. Magar biwi ki baat ko sukoon sey sunayn, us ki tarafdari karein, woh relax aur khush ho jayegi. Usko solution ki nahi bul kay sunay janay ki zaroorat hai, sukoon sey us ki baat sunayn.

57. Har ghar mein kabhi naa kabhi koi naa koi masla hojata hai. En masa'el ko official masa'el ki tarah ahmiyat den. Enko solve karney ki koshish karein magar kisi nateejay par pohochnay sey pehley tamam informations collect kar len, doosrey sakhs ka nuqta-e-nazar bhi maloom kar len.

No comments:

Post a Comment