Pages

Sunday 7 August 2011

First Intercourse - Pehli Mubashrat
  1. Allah kay piyarey Nabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ney jinsi amal ko naeki aur sadqa qarar diya hai jis ka sawab milta hai. (Muslim)
  2. Biwi mian kay saath ta'awwun karey. Agar woh baghaer kisi ma'aqool wajah kay ta'awun sey inkar karey to farishtey sari raat iss per laanat bhaijtey hain. (Abu Dawood, Muslim, Nisa'ee)
  3. Mubashrat ek purlutf amal hai agarcha pehli bar kuch takleef hoti hai. lekin agar biwi apni sari tawajjah jinsi lutf per markhooz karey to takleef ka zyada ehsaas nahi hota. Agar bharpoor ta'awwun karey aur apney jism ko dheela chor dey to takleef bhi kam hoti hai.

raat biwi ki tawaza, dil dari aur dil joi ki jaey. Allah kay pak naabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay Hazrat Ayesha ko doodh pilaya (ahmed) amooman larki apnaa ghar chor kar naey ghar aur naey mahool mein aati hai. Woh khauf ghabrahat aur nervousness ka shikar hoti hai. Woh mian aur susral walo kay hawaley sey kay tarhan kay khadshat ka shikar hoti hai. Iss sorat mein isey dil joi ki sakht zaroorat hoti hai. Behtar hai kay donon 2 , 2 nafil phar leyn. Kamiyab aur pur sakoon zindagi ki dua kareyn. Iss sey insan per sukoon hojata hai. Jis ki wajah sey tanau (erection) bhar poor hoga aur inzal bhi jald naa hoga. Tahem agar kisi mard ko surat e inzal ka masla hai ya khauf hai ka inzal jald ho jaey ga to aisey fard kay liye mahireen tajweez kartey hain kay woh (intercourse) sey 2 hours pehley khudlazaati karley. Iss sey insan jismani lehaz sey pur sukoon hojata hai aur phir mubashrat () mein jald ejaculate nahi hota.

No comments:

Post a Comment