Pages

Monday 8 August 2011

Give Importance To Inlaws - Biwi Ko Ahmiyat Dein

18. Aurat, aurat sey hasad karti hai. Biwi kay saamney doosri aurton ka zikar naa karein. Inki tareef naa karein. Biwi ka doosri aurton, khas tor per apni maa aur sister kay saath comparrision naa karein.

19. Apney susral walon ki ezzat aur ehtram karein. Apney saas susar ko wohi maqam dein jo apney parents ko deytai hain. Hadees hai kay "Mard kay 3 baap hotey hai ek woh jisnay isey paida kara, doosra woh jisnay isey taleem di, teesra jisnay isey beti de". Susrali rishtaidaron sey acha sulook karkay aap apni biwi ka dil jeet leyngai. Phir woh bhi apkay relaative kay saath behtar aura cha sulook kareygi.

20. Biwi per tanqeed naa karein. Sakt nukta cheni naa karein. Khas tor per bachun aur doosrey logon kay saamney hargiz tanqeed naa karein. Har tanqeed nuqsan deh hoti hai chahey woh tameeri hi kyun naa ho. Tanqeed sey kuch hasil nahi hota. Agar tanqeed karna bohut zaroori hai to tanqeed sey pehley iss ki 3 cheezon ki tareef karein phir sukoon kay saath tanqeed karein. Tanqeed hamesha alaehdgi mein ki jaey. Iss kay bajaey isskay kam per tanqeed karein.

21. Allah ke nabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H.) ne kisi bhi insan ki toheen tazheek karne, lanaat malamat karne aur mazaq urane sey sakhti sey manaa farmaya hai, biwi iss cheez ki zada haqdaar hai ke isski toheen naa ki jaye.

22. Biwi ki gheebaat naa karein. Yeh bohut bara gunah hai. Apne murdah bhai ka gosht khaney kay baraber hai. Khas tor par apne parents kay saamney biwi ki burai naa karein. Iss ke khilaf baat naa sunayn bulkey uss ko defend karein. Yeh nayki hai.

No comments:

Post a Comment