Pages

Monday 8 August 2011

Give importance To Wife - Biwi Ko Ahmiyat Dein

Shirk kay baad sab sey bara gunah parents ki naa farmani hai (Muslim). Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ka irshad hai kay maa baap ko satanay waley ko Allah Ta'ala isi duniya mein saza deytai hain. (Bahqe) Doosri hadees mein irshad hai kay terai maa baap terai liye jannaat aur dhozakh hain. (Ibn-e-Maja)

Yani agar insan enka farmabardar hoga to jannaat mein jaeyga aur agar naa farmani kareyga to dhozak thekanaa banayga. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay aurat per sab admiyun sey ziyada haq isskay shohor ka hai aur mard per isski maa ka (Hakim) Bachey parents sey sekhtai hain woh inkay liye role model hotey hain. Agar aap ka behaviour apney parents kay saath behtar hoga to apki aulad bhi apkay saath acha sulook kareygi. Ham nay parents kay naa farman afraad ko apni aulad kay hathoo zaleel hotey dekha hai.

64. Apni Gharelu aur zaati zindagi ko ziyada sey ziyada dilchasp aur pursukoon banay. Agar apki life dilchasp nahi to kam kay baad aapko aram aur sukoon kam mileyga. Aur next day kam karney kay liye apki energy kam hogi. Jissey ghar mein sukoon naa miley woh shakhs tabah hojaeyga.

65. Apni biwi kay jazbaat, ehsaasat aur khwahishat ka ahteram karein. Biwi ko hamissha new dulhan ki tarhan piyar karein. Piyar isskay pasandeeda tareqon kay mutabiq karein, isey puch leyn kay isey kis tarhan piyar kara jaey. Iss tarhan apki Mohabbat sari zindagi taro taza rahaigi.

No comments:

Post a Comment