Pages

Monday 8 August 2011

Give importance To Wife - Biwi Ko Ahmiyat Dein

pehley uski aankhon mein dekhein, 2 to 3 sec kay baad isski nose ki tip ki taraf, phir isskay lips, chin aur phir isskay face ki taraf dekhain. Phir shuru sey isi tarhan karein. Explanation deynay ki koshish naa karein, sirf sunay. Explanation kisi aur waqt karleyn. Mard ko yeh baat jan leyni chahiyie kay aurat jab problems ka zikar karti hai to isska maqsad solution hasil karna nahi hota bul kay sirf sunaanaa hota hai. Lehaza issko solution baatanay ki koshish naa karey, sirf tawajah sey sunay, woh relax hojaeygi. Aam zindagi mein bhi biwi ki baat ko tawajah sey sunay. Isski baat ko interrupt naa karein.

63. Aap kay naazdeek parents kay baad sab sey ahem shakhs apki biwi huni chahiyie. Bachun sey bhi ziyada important. Magar biwi ki Mohabbat mein parents ko naa bhuleyn.

Allah Ta'ala ka irshad hai kay "Aap (P.B.U.H) farmadejiya kay aoo mein tumko woh cheezain phar kay sunaao kay tumharey rub nay tumper haram farmadiya woh hai kay Allah kay saath kisi ko shareeq mat tharaoo aur maa baap kay saath ahsan karo" (Al anaam 152)

Doosri jagah irshad hai " Maa baap kay saath husn-e-sulook kiya karo. Unko uff bhi mat kahnaa aur naa unko jheraknaa. Inkay saamney ajazi aur inkissari kay saath jhukay rahnaa aur yuh dua kartey rahnaa kay aai parwardegar en donon per rahmat farmaiyie jaeysa unhunay mujhey bachpan mein pala" (Bani Issrail)

No comments:

Post a Comment