Pages

Thursday 11 August 2011

Happy Home Life

Ta'hum khawateen sey darkhwast hai kay apney tajurbaat ki roshni mein humein bataein kay gharelu zindagi ko khushgawar bananey kay liye khawand ko kya karna chahiyie. Shaadi sey pehley khawand apney doston ki sohbat sey lutfandoz hota hai shaadi kay ba'ad bhi woh inki sohbat mein waqt guzarna chahta hai iss sey usey sukoon milta hai aap iss ka bura na manaein, rukawat na daalein, khawand ko doston ki sohbat sey lutfandoz honay ka moqa dey kar relax honey dein woh relax hoga to aap ko zyada tawajjuh dey sakey ga.

  1. Ba'az mardon ko yeh junoon hota hai kay woh apni biwi kay maazi kay baarey mein ma'aloomaat hasil karein aaya maazi mein unn ka kisi kay sath koi jazbati ya jismani ta'alluq to nahin raha. Aisi ma'aloomaat hasil karney kay liye woh unhein qasmein detey hain ba'az to intehaee surton mein unn kay ser per Quran majeed rakh detey hain sath hi yeh bhi kehtey hain kay woh khuley dil aur wasee zarf hain agar unki biwi ka kisi kay sath ta'aelluq raha to woh kuch nahin kareingey bas zara unki tasalli ho jaey gi agar khuda na khwasta aap kay kisi kay sath jazbaati ya jismani ta'alluqaat rahey hain to khuda kay liye kisi sey beyan na kijiyie, ta'alluqaat ko kharabi sey bachaney kay liye Islam mein jhoot bolney ki ijazat hai. Agar aap ney iss tarah ki koi baat tasleem karli to khawand kitna hi farakh dil, roshan khayal aur bey hiss kyun na ho iss tarah uss kay dil mein nafrat ki giraah parr jaey gi phir woh aap ko akser aisey ta'aney dega, aisi shaadi ka bachna mushkil hota hai agar aap kay kisi qism kay ta'alluqaat rahey hain to Allah sey tauba karein, woh maaf karney wala hai. Magar aaenda apney khawand ki wafadaar rahein phir yeh kay mardon ko sochna chahiyie kay shaadi sey pehley kisi na kisi kay sath unn kay bhi ta'alluqaat rahey hongey behter yehi hai kay ek doosrey kay maazi ko na kureda jaey albatta shaadi kay ba'ad mian biwi ko ek doosrey ka wafadaar hona chahiyie aur dhoka nahin khana chahiyie.

No comments:

Post a Comment