Pages

Monday 8 August 2011

Husband And Wife In Islam

Aurton ki aksaryat ko apney khawand ki wajah sey mua'ashrey mein buland maqam milta hai maslan doctor ki biwi, aalim ki biwi, ek crore pati ki biwi, ek adeeb ki hatta kay ek wazeer ki biwi waghaira ko mua'ashrey mein jo maqam hasil hota hai iss kay husool mein uska koi khaas kirdaar nahin hota, magar ba'az auqaat ma'amooli sey ikhtilaaf ki wajah sey aurat khawand ki na shukri kar guzarti hai yeh na shukri bohut bara gunah hai. Hazrat Muhammad ney farmaya : meiney aaj (dozakh) ki tarah koi darauni cheez nahin dekhi, meiney dekha iss mein aurtein bohut hain, logon ney arz kya ya rasool Allah iss ki kya wajah hai? Aap ney farmaya : yehi kufr, logon ney arz kya kya Allah sey kfur? Aap ney farmaya : nahin, khawand ka kufr (na shukri) ahsaan na man'na. Aurat ka yeh haal hai kay agar tu umar bhar uss kay sath ahsaan karta rahey phir koi baat tumhari taraf sey unn ki tabyat kay khilaf ho gaee to bol uthey gi kay meiney kabhi bhi tum sey koi behetri nahin dekhi (bukhari). Hazrat Sobaan kehtey hain kay Rasool Allah ney farmaya kay jo aurat bila wajah apney shohar sey talaq chahey, uss per jannat ki bu haram hai. (ibn-e-maja, ahmed, tirmazi, darmi). Hazrat Muhammad ney farmaya kay teen tarah kay aadmi aisey hain jin ki na namaz qabool hoti hai, na koi aur neki manzoor hoti hai, ek wo aurat jis ka shohar uss sey naraz ho, doosra woh jo nashey mein mast ho, teesra woh musalmaan bhai jo ek doosrey ko kisi dunyavi wajah sey chortey hain.(ibn-e-maja) Islam mein mard kay liye sab sey muhatram uski walida hai aur aurat kay liye uska khawand, donon ki narazgi sey bachna chahiyie.

No comments:

Post a Comment