Pages

Thursday 11 August 2011

Husband Wife Relationship

Ab ap ko mian ki woh aadat pehley ki tarah disturb na karey gi iss mushq ko kisi bhi fard maslan saas, susar, nand aur bahoo waghaera kay liye istaemaal kiya ja sakta hai.

  1. Mian ki izzat aur ehtraam karein khusoosan bachon aur doosrey logon kay samney iss kay sath wahi sulook karein jaisa sulook aap iss sey apney liye chahti hain.
  2. Khawand sey na sirf mohabbat karein bulkay din mein kaee baar iss ka izhaar bhi karein sirf dil mein mohabbat karna kafi nahin mohabbat kay izhar kay liye mian ko chu'ein, bosa lein, uski gardan per massage karein, uska hath pakrein usey galey lagaein din mein kaee baar iss tarah mohabbat ka izhaar karna gharelu zindagi ko bohut khushgawar bana deta hai. Yaad rahey kay misali shaadi ki bunyaad mohabbat hai.
  3. Mian, biwi donon ek doosrey kay qareeb hun, kuch kaam ikatthey mil kar karein, TV dekhein, akhbaar ikatthey parhein, walk karein, ek doosrey ki sohbat sey lutfandoz hun.
  4. Mukhtalif tehqeeqat sey yeh baat samney aaee hai kay khushgawar shaadi mein mian biwi rozana ek aadh khana laziman ikatthey khatey hain le'haza aap bhi kam az kam ek khana mian kay sath khaein.
  5. Rozana kam az kam aadh ghanta ikatthey guzarein, gup shup lagaein, tanqeed na karein, ilzam na dein, haftey mein ek aadh baar saer kay liye ghar sey baher jaein, khana baher kha lein phir iss kay liye mian ka shukriya ada karein din kay aakhir mein mian sey poochein kay uska din kaisa guzra, jhagron ki baatein na karein

No comments:

Post a Comment