Pages

Monday 8 August 2011

Lack Of Orgasm - Psychological Reasons

3. Aisi khwateen ba'az haalaat mein orgasm hasil kar leti hain aur ba'az mein hasil karney mein nakaam rehti hain.

Master & Johnson ki research kay mutabiq iss masley ki zyada ter wajoohaat nafsiyati hoti hain jab kay jismani wajoohaat bohut kam hoti hain ta'hum inn wajoohaat ko bhi madd e nazar rakha jaey.

Nafsiyati Wajoohaat (Psychological Reasons)

Ahem nafsiyati wajoohaat darj zael hain:

Zehni daba'u, thakawat, koi sadma, mian biwi kay kharab ta'alluqaat, jinsi ilm ki kami, namunasib tariqey, khauf, kisi kay aajaney ka khauf, bachey kay jag uthney ka khauf, hamal ka khauf, sex kay hawaley sey manfi tasawwuraat, mubashrat ko bura aur gandi cheez samajhna, iss hawaley sey ehsas e gunah aur jurm, jinsi jazbaat kay hawaley sey sharmindagi, phir inn jazbaat ko dabaney ki koshish karna, mubashrat kay dard ka khauf, mard sey nafrat, jinsi jazbaat ki kami, la shaoori wajoohaat.

Kuch aurtein baqa'eda orgasm ki muzahimat karti hain kyun kay unhein jinsi jazbaat kay tehat bey qaboo honay ka khauf aur phir sharmindagi ka ehsaas hota hai ba'az auqaat orgasm hasil na karney mein baar baar naakami ki wajah sey aurat ko tawaqq'a ho jati hai kay woh orgasm hasil na karey gi aur phir woh hasil nahin karti iss masley ki yeh ek ahem wajah hai phir yeh manfi tawaqqa'a iss masley ko mustaqil bana deti hai.

No comments:

Post a Comment