Pages

Monday 8 August 2011

Low Libido - Lack Of Sexual Desire

Iss maqsad ka hussol jald bhi ho sakta hai aur der ba'ad bhi ta'hum mustaqil mizaji sey mushq ko jari rakhein agar yeh mushqein aap kay maqsad kay husool kay liye mufeed sabit na hun to phir kisi achey mahir e nafsiyat sey baqaeda elaj karaein Allah ney har maslay ka hull paeda kya hai.

Ki Kami (Low

Aam tor per mian biwi ki jinsi dilchaspi (libido) aur khwahish ek jaisi nahin hoti bul kay donon mein farq hota hai kahin aurat ki jinsi khwahish zyada hoti hai aur kahin mard ki waisey yeh sochna aur tasawwur karna bhi na ma'aqooliyat hai kay do mukhtalif afraad ek jaisi ek jitni jinsi khwahish rakhtey hun jinsi khwahish ka ikhtilaaf aam doosrey ikhtilaaf ki tarah hai maslan kisi ko baerooni sargarmiyan pasand hain to doosrey ko gharelu ek ko football pasand hai to doosrey ko cricket ta'hum inn ikhtilafaat sey nipatney ka behtreen tariqa kuch maano aur kuch manwao ka usool hai aur yehi usool mian biwi ki mukhtalif jinsi khwahishaat kay silsilay mein bhi ikhtiyar karna hoga ek doosrey kay jinsi jazbaat ka ehtraam karna hoga. Iss surat mein zindagi bohut khushgawar hogi. 1972 kay ek survey kay mutabiq aam jorey ausatan haftey mein do baar jinsi amal sey lutf andoz hotey hain magar umar barhney kay sath iss mein kami aa jati hai.

Magar ba'az auqaay fard ki jinsi khwahishat aur dilchaspi aohut kam ho jati hai aur ba'az ki bilkul hi khatam ho jati hai

No comments:

Post a Comment