Pages

Monday 8 August 2011

Low Libido - Lack Of Sexual Desire - Reasons

Ek american survey mein 35% khawateen aur 16% mardon ney sex mein adum dilchaspi ka izhar kya kuch khawateen ki jinsi khwahish (libido) ahista ahista khatam hoti hai aur kuch ki ek dum khatam ho jati hai ba'az khawateen ko kisi moqa per khwahish hoti hai aur kisi doosrey moqa per nahin hoti iss ki wajah janney kay liye record rakhein aur baghor jaeza lein kay kab khwahish hoti hai aur kab nahin hoti amooman aisa ho sakta hai kay jab aap relax hun to khwahish ho magar jab tense hun to adum dilchaspi ka shikaar ho jaein ba'az auqaat jora kisi wajah sey sex tark kar deta hai maslan beemari, laraee jhagrey, zehni dabau aur muashi pareshani waghaera yeh bhi khwahish mein kami ka sabab ban saktey hain. Ba'az auqaat sex ko doobara shuru karna mushkil ho jata hai jab lamba arsa sex na ki jaey to isey dobara shuru karna zara mushkil ho jata hai. Hum aap ko batein gey kay aap kis tarah apni jinsi dilchaspiyon ko bahaal kar saktey hain magar iss sey pehley jinsi khwahish ki kami (low libido) ki wajoohaat ko janna hoga.

Jinsi Khwahish Ki Kami Ki Wajoohaat (Low Libido Reasons)

Iss masley ki wajoohaat nafsiyati kay elawa jismani bhi ho sakti hain mahireen kay khayal kay mutabiq jismani ya medical wajoohaat 10% ta 20% ho sakti hain jab kay zyada ter wajoohaat nafsiyati hoti hain ahem wajoohaat darj zael hain:

  1. Manfi Jinsi Ta'aleem o Tarbiyat (negative sexual training)

Agarcha islam mein shaadi kay ba'ad sex ko naeki aur sadqa qarar diya hai magar phir bhi la ilmi ki wajah sey sex ko amooman bura samjha jata hai jiski wajah sey yeh masla paeda ho jata hai.

No comments:

Post a Comment