Pages

Monday 8 August 2011

Low Libido Physical Reasons - Lack Of Sexual Desire

Ba'az khawateen ki (libido) aur dilchaspi mahwaari kay chakkar) kay sath badalti rehti hai iss tarah ba'az khawateen ki khwahish baeza raezi kay dinon mein kam ho jati hai jab kay ba'az khawateen ki yeh khwahish barh jati hai ba'az khawateen ki jinsi khwahish baeza raezi aur mahwaari ) kay darmiyani arsey mein kam ho jati hai inn dinon ba'az khawateen ka estrogen level kam ho jata hai jis ki wajah sey aurat thakawat, ser dard aur hot flashes mehsoos karti hai iss kay elawa faraj mein jalan aur khushki ho jati hai jo mubashrat mein takleef ( ka sabab banti hain mahwaari kay qareeb mein bhi kami ho jati hai jis ki wajah sey jinsi khwahish (libido) kam ho jati hai yeh kami testosterone dey kar poori ki ja sakti hai.

  1. Beemariya'n (illness)

    Kaee beemariya'n bhi jinsi khwahish (libido) mein kami ka sabab banti hain maslan depression ki wajah sey fard shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karta hai aur amooman jinsi khwahish (sexual desire) kam hojati hai iss kay elawa depression ki adviyat bhi ba'az auqaat jinsi khwahish ko kam kardeti hain. Sugar ki wajah sey bhi yeh masla paeda ho jata hai, aam beemariyo'n ki wajah sey bhi jinsi dilchaspi (sexual desire) khatam ho jati hai khusoosan agar beemari lambi ho jaey agar beemari aarzi hai to beemari khatam honay per jinsi khwahish khud ba khud bahaal ho jati hai ba'az auqaat khawand ki lambi beemari ki wajah sey mubashrat mein taweel waqfa aa jata hai jis ki wajah sey jinsi khwahish (libido) khatam ho jati hai iss surat mein beemari kay khatmey per mubashrat ki shaoori koshish ki jaey.


No comments:

Post a Comment