Pages

Monday 8 August 2011

Low Libido - Treatment - Lack Of Sexual Desire
  1. Agar masley ki wajah nafsiyat hai to apney tor per usey hal karna mushkil hota hai iss kay liye kisi mahir e nafsiyat sey madad leney ki zaroorat hai khusoosan agar iss ki wajah mubashrat e mehramaat, zina biljabr, jinsi zyadti, jazbaati sadma, hamal ka khauf ya maazi kay tulkh waqe'aat hain to inn ko mahir e nafsiyat ki madad kay baghaer hal karna kafi mushkil hai tajziyati nafsiyati elaj sey inka hal bohut aasan hai.
  2. Agar iss ki wajah manfi jinsi ta'aleem hai to phir apney ilm mein izaafa karein iss kay liye humari kitaab '' bohut mufeed sabit hogi.
  3. Iss masley ki ek ahem wajah zehni daba'u aur thakawat hai to iss kay hal kay liye mian kay sath hafta waar tafreeh karein kaam mein madad kay liye koi mulazima rakh lein halki phulki warzish ko apni zindagi ka hissa bana lein bachon ki adum mojoodgi mein din ko kuch aaraam kar lein.
  4. Sex mein yaksaaniyat ko khatam karney kay liyewaley sey iss kitab mein bohut sey ideas paesh kiye gaey hain khusoosan waley baab ko bar bar parhein aur inn mein sey pasandeeda ideas ko istaemaal karein.
  5. Jinsi adum itmenan ki surat mein mian sey kahein kay woh iss silsiley mein kisi mahir sey madad lein mian bhi yeh kitab parh lein iss kitab mein bhi aisey tariqey bataey gaey hain jin ki madad sey woh aapko mutmaen kar sakein gey iss kitab mein

No comments:

Post a Comment