Pages

Monday 8 August 2011

Marriage And Islam - Shaadi Aur Islam

Quran mein irshad hai "Nikah karo jo tumko pasand ai, aurton sey 2 aur 3 aur 4 aur agar yeh khauf ho kay insaaf naa kar sako gey to 1 sey. (Al-Nisa 3)

Aaj kay mahir-e-nafsiyat kahtey hain kay kamyab shadi kay liye zaroori hai kay mian ko biwi ki aik aadh cheez zaroor pasand ho. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay 1400 saal pehley nikah sey pehley aurat ko dekh lenay ka hukum ya kam sey kam mashwara diya tha.

  • Hazrat Abu-Huraira biyan kartey hain kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay aik admi sey jisnay kisi aurat sey shadi karney ka irada kara tha pucha kiya tu nay uss ko dekh liya hai. Uss nay nafi mein jawab diya. Aap Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya jao uss aurat ko dekh lo kyun kay ansar ki ankhun mein kuch (Aeb) hai. (Muslim)
  • Hazrat Mughaira-Bin-Shoba nay aik aurat ko nikah ka paigham diya. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya, tum iss aurat ko dekhlo. Isskay baat tawaqa hai kay ulfat aur ittehat kaym rahey. (Ahmed, Ibn-e-Maja, Tirmizi, Darmi, Nissey)
  • Shadi sey pehley shareek-e-hayat ko dekh leyna mu'nhnaasib hai kay iss sey rishta-e-nikah ki paidari ka saman hota hai. (Tirmizi)
  • Hazrat Jabir sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya tum mein sey jo shakhs kisi aurat ko nikah ka paigham dey usko chahiyie kay agar mu'nhmkin ho to iss aurat ko aik naazar dekh ley. (Mishkaat)

No comments:

Post a Comment