Pages

Monday 8 August 2011

More Methods Of Birth Control
  1. Mubashrat sey pehley mard rabrri ghilaaf zakar kay ooper charha leta hai ta'kay uska ikhraj faraj kay ander na ho bul kay condom kay ander ho iss tarah aurat ko hamal na hoga ghaliban yeh maana'e hamal ka sab sey zyada istaemal honey wala tareeqa hai ta'hum iski kaamyaabi ki sharah 100% nahin iski nakaami ki sharah 10% ta 26% tak hai. Agar iss kay sath aurat mana'e hamal cream ya diaphragm istaemal karley to kamyaabi 100% hojati hai. Condom ka istaemal jinsi beemariyon sey bachney ka ek mu'asser tareeqa hai mard ki nisbat aurat zyada jinsi beemariyon ka shikar hoti hai.

  2. Local anesthesia dey kar yeh operation kya jata hai, mard ki per iss kay koi burey asraat nahin partey kamyabi ki sharah 100% hai koi khas side effects nahin hasb e zaroorat iss operation ko reverse bhi kya ja sakta hai. Yani mard dobara aulad paeda karney kay qabil ho jata hai magar iski kamyaabi ki sharah har saal kam hoti jati hai operation kay ek saal ba'ad taqreeban 90% aur 5 saal ba'ad sirf 30% reh jati hai.

  3. Khaney Wali Adviyat (Birth Control Pills)
    Khawateen mein sab sey zyada istaemal honey wala tariqa mana'e hamal goliyan (birth control pills) hain jo kay aurat istaemal karti hai, yeh adviyat baeza raezi ko rokti hain jiski wajah sey bacha paeda nahin ho sakta yeh ek kamyab tariqa hai nakami ki sharah 0.5%

No comments:

Post a Comment