Pages

Monday 8 August 2011

More Methods Of Birth Control

hai nakami ki bari wajah goli khana bhool jana hai. Iss surat mein nakami ki sharah 2% hai agarcha yeh ek mu'asser tareeqa hai magar iskey kafi burey asraat hain maslan khoon ka jum jana, shadeed ser dard, nazar ka dhundhla jana, taangon aur seeney mein shadeed dard ka mehsoos hona, matli mehsoos hoti hai, saans rukta hua mehsoos hota hai. Kuch khawateen ka blood pressure buland hojata hai, pittey (gall bladder) ki beemari ka khatra barh jata hai. 5 saal musalsal aisi goliyan khaney sey jigar kay cancer ka khatra barh jata hai inn adviyat sey khawateen ka wazan barh jata hai. 20% khawateen depression, aur chirchireypan ka shikar ho jati hain inn goliyon kay istaemal sey faraj mein zyada pani aaney lagta hai ba'az khawateen ki jinsi khwahish barh jati hai aur ba'az ki kam ho jati hai.

Mundarja zael khawateen ko yeh goliyan istaemal nahin karni chahiyien jin kay khoon ki gardish kam ho, jinko khoon jumney ka masla ho, dil ki koi beemari ho, jigar kay cancer wali khawateen jinki umar 40 saal sey zyada ho khusoosan agar woh cigarette bhi peeti hun ta'hum aksar khawateen kay liye inn kay burey asraat nahin agar aap dobara bacha chahti hain to adviyat ko chordein to ek saal mein 40% khawateen aur 2 saal mein 93% khawateen haamla ho jati hain.

No comments:

Post a Comment