Pages

Monday 8 August 2011

More Methods Of Birth Control

iss kay koi khaas burey asraat nahin albatta kabhi kabhi faraj ya zakar ki sozish ka sabab ban jatey hain.

  1. Sponge
    Yeh mushroom ki topi ki shakal ka hota hai jisey diaphragm ki tarah faraj mein dakhil kya jata hai isey 24 ghantonh tak rakha ja sakta hai yeh bacha dani kay mu'nh per aa jata hai iss mein dawa hoti hai jis ki wajah sey sperms mar jatey hain. Iss kay elawa iss ki wajah sey sperm bacha daani mein dakhil nahin ho saktey yeh bohut kaamyaab tariqa nahin iski naakami ki sharah 20% hai ba'az aurton ko iss sey allergy hoti hai aur ba'az auqaat isko nikalna mushkil ho jata hai.

  2. Dhona (Douching)
    Yeh tariqa mu'asser nahin hai iss mein faraj ko ek khaas pani sey dhoya jata hai jis ki wajah sey sperms mar jatey hain.

  3. Baezaraezi ) Kay Qareeb Mubashrat Sey Bachna
    Baezaraezi janney kay ka'ee tariqey hain bazaar mein iss ka test bhi milta hai iss mein mawad-e-rahem ka tariqa kafi mu'asser hai iss ki tafseel bachey kay husool mein bayan ki ja chuki hai. Jis din yeh mawad zahir ho uss din sey ley kar jis din mawad bund ho jaey uss kay 4 din ba'ad tak mubaashirat sey bacha jaey agar baezaraezi ka chakkar regular ho to naakami bohut kam aur agar yeh chakkar regular na ho to naakami ki sharah zyada ho jati hai amooman naakami ki sharah 15 ta 25% hai iss kay sath agar condom ko shamil karliya jaey to naakami ki sharah bohut hi kam ho jati hai.

No comments:

Post a Comment