Pages

Sunday 7 August 2011

Mubashrat Kay Tariqey


Insan fitri tor per variety aur jiddat ka ashiq hai. Entehai khoobsurat cheez aur nehayat lazez khanaa bhi jald hi apni kashish kho deyta hai. Sex mein bhi insan variety ko pasand karta hai. Jinsi amal mein aurat khaas tor per kisi bhi aik tareeqey sey jald hi boriyat ka shikar hojaati hai. Rozanaa aik hi tariqey sey mubashrat (intercourse) aurat ko jald ukta deti hai. Phir woh ahista ahista mubashrat (sey dilchaspi khodeti hai aur phir iss sey katranay lagti hai hatta kay inkar tak kardeti hai. Lehaza azdawaji zindagi ko ziyada pur josh banay rakhney kay liye zaroori hai kay har martaba foreplay aur sex ka naya tariqa apnaya jaey. Aurat bohut hi mamoli tabdeli mein tanaao ka lutf hasil karti hai. Chunancha mahireen nay biyan kiye hain. Kook shastaron mein 80% sey ziyada tareqon ka zikar hai. Jab kay ahl e maghrib nay 600 sey ziyada tareqon ka zikar kiya hai. 4-6 tareqon ko chor kar baqi mein mamoli farq hai.

Baaz muslim ahl e qalam nay (sex) kay missionary (mard ooper aur aurat neechey) tariqey ko fitri aur islami tariqa qarar diya hai. Woh iss tareqai ko Quran Majeed ki iss ahadees " Jab mard nay aurat ko dhamp liye to us ko hulka sa hamal reh gaya". (Surah Airaaf 189) sey akhas kartey hain. Halan kay koi bhi tareeqa naa fitri hai naa islami. Iss silsiley mein Quran Majeed mein wazaih isshara hai.

No comments:

Post a Comment