Pages

Monday 8 August 2011

Painful Intercourse

Khawand mubashrat kay waqt zakar ko chikna karey to phir mubashrat mein dard na hoga. Ba'az auqaat kay ooper laga hua chemical ya koi cheez maslan sabun waghaera allergy ka sabab ban jata hai jis sey mubashrat mein takleef hoti hai aisi surat mein inn ka istaemaal bund kar kay dekhein ba'az auqaat kisi wajah sey bacha daani, bacha daani kay mu'nh ya qazif naaliyon mein infection ya tumor hota hai jo kay dard ka sabab banta hai. Iss kay elawa bachay ki paeda'esh kay ba'ad bachey daani mein zakham ki wajah sey bhi mubashrat takleef deh ho sakti hai umar kay barhney ki wajah sey faraj mein ratoobat ki kami aur faraj ki deewaarein patli ho jati hain to mubashrat mein dard hota hai.

Ta'hum jab bhi mubashrat mein dard ho to kisi achi doctor sey raabta karein muaaeney kay waqt usey bataein kay mubashrat kay kis marhaley mein aur kis jagah dard hota hai takleef deh mubashrat mein amooman teen maqamaat per dard hota hai.

  1. Faraj (vagina) kay dahaney mein yani dakhool kay waqt
  2. Gehrey dakhool mein stroke lagatey huey
  3. Bazer () mein

Agar dard faraj kay dahaney mein hota hai to iss ki ka'ee wajoohaat ho sakti hain maslan infection, zakham aur allergy waghaera agar faraj ka dahana humesha bohut hassas hota hai aur iss mein budbuu daar mawad zyada miqdaar mein nikalta hai to yeh koi khatarnaak beemaari ho sakti hai iss surat mein fori tor per doctor sey raabta kya jaey.

No comments:

Post a Comment