Pages

Monday 8 August 2011

Relation Of Husband And Wife

61. Ham iss baat ka zikar pehley kar chukay hain kay shadi ki base mohabbat hai. Mohabbat ka izhar karney kay saath saath mohabbat sabit bhi karein. Maslan biwi ka koi kam kardein. Isskay liye choti moti qurbani dein. Agar woh koi requisst karey to accept karleyn.

62. Agar kabhi biwi sard mehri ka ezhar karey to usko touch karey, agar woh pechai ko naa haatey to matlab hai kay woh apsey naaraz nahi. Naarazgi ka reason aap nahi, aap relax hojaeyngai. Iss sey puchain kay woh pareshan kyun hai? Iss sey baat karney per issrar aur amada karein. Phir iss ki baat ko bohut ghour sey sunay. Iss ka hath pakrain. Aurtein pareshani mein apney jazbaat ka ezhar karna chaati hain. Inki khwahish hoti hai kay inki baat ko tawajah sey sunaa jaey. Woh problem ka solution nahi chahti sirf acha kan chaati hain. Jab aap puri tawajah sey isski baat ko sun leyngai to woh relax hojaeygi.

Agar woh pechai ko hutt jaey to possible yehi hai kay iss ki naarazgi ka reason aap hain. Too iss sey puchain kay aap ki kis cheez nahi issko disturb kara hai ta'kay aa'enda aap woh naa karein. Mazrat karein, issrar karey kay woh baat karey. Isey clearly bataein kay isey naaraz honay ka haq hai. Phir isski baat ko tawajah sey sunay aur saath saath hun, haan kahtai jaeyn. Iss sey issko ahsaas hoga kay aap isski baat ghour sey sun rahey hain. Baat suntey waqt idher udher dekhney ki bajaey uski aankhon mein aankhein daal kar dekhein.

No comments:

Post a Comment