Pages

Sunday 21 August 2011

Urine Color Changes - Peeshab Kay Rung Mein Tabdeeli

Do-Dhaari Peeshab---Kharabi---?

Dusri pareshanion ki tarhan do-dhaari peeshab bhi aik aam uljhan hai. Peeshab ki nali naram aur lachakdar hona ki wajha sey pechki hui hoti hai. Yeh uswaqt hazb-e-zarorat khul jati hai jab urine yeh mani (semen) iss mein sey kharij horaha ho. Jab peeshab ki nali mein sey urine kharij na horaha ho to yeh nali us mein mojood ratobat ki wajha sey chepak jati hai. Aisi halat mein jab kabhi urine pas kara jai to iss ka imkan hota hai ka nali apna diameter ka bech ka hissa sey chipki rahaigi aur chipka howa hissai ka dono taraf khol jai. Es tarhan khkarij hona wala peeshab do dharon mein kharij hota hai. Jab peeshab ki dhar zyada tez hojai to yeh do dhar mein tabdeel hojati hai yani urine ka kabhi kabhar 2 dharon mein kharij hona koi beemari aur kharabi nahi. (Mobeen)Safaed

(White) Aur Zard (Yellow) Rung Ka Peeshab---Beemari---?

Urine Color Changes-Peeshab Kay Rung Mein Tabdeeli

Peeshab ka yellow yeh water ki tarhan hona had tak seasonal changes per munhasir hai. Sakht garmi ka doran jab pasena zyada kharij hota hai to peeshab ki miqdar kam aur rang yellow hojata hai. Sardi ka mosam mein pasena kam kharij hona ki wajha sey peeshab halka yellow colour yeh water jaisa hota hai. Peeshab ka colour mein tabeli es per munhasir hai ka water kis qader piya. Water ka kam yeh zyada peeney ki wajah sey bhi peeshab ka colour yellow ya colour less ho sakta hai. Iss kay elawa baaz adviyat (medicine) kay estimal ki wajha sey bhi peeshab ka colour change hojata hai. Yeh sab kuch normal hai koi beemari nahi. (Mobeen)


No comments:

Post a Comment