Pages

Sunday 21 August 2011

Western Aur American Hawaley

Western Aur American Hawaley:

Iss kitab mein aap ko maghribi aur American bohut sey hawaley miley. Wahan kay ahl e ilm ney aisey hi masail ki wajah sey baras ha baras tak inn topics per research ki. Logon sey miley, survey karey, phir results nikaley gaey aur duniya kay samney aaey. Wahan ki saari kharabiyan apni jagah magar yeh baat zaroor ahem hai kay woh masley ko masla maan kar aur jaan kar aisi research kartey hain kay haq ada kar detey hain. Phir inn ki baat hi reference ban jati hai. Humarey yahan to aksar masley ko masla nahi mana jata jiski wajah sey iss kay hal ki taraf tawajjuh nahi di jati.

Duniya mein iss field mein 2 types kay log kam kar rahey hain. Doctors aur mahir e nafsiyat. Karachi kay doctor Syed Mubeen Akhter aur M. Zakir Molvi ney iss hawaley sey ahem kam kya. Magar collectively hamarey yahan donon specially mahir e nafsiyat (jin mein mein bhi shamil hun) ney kotahi ka suboot diya hai aur awam ko inn ahem masail kay hawaley sey rehnumaee fraham nahi ki.

Meri practical life ki observations, experiences aur nafsiyati clinic per aaney waley patients sey miltey, inka elaj kartey mujhey 2 decades honay ko aaey. Yeh book mereyt inhi experiences ka nichor hai. Iss mein beyan ki hui batein aur haal na sirf bohut sey logon ko mushkil aur pareshani sey nikal kar sukoon, khushi aur etminan sey ham kinar kar chukey hain bul kay aksar logon kay minds mein ghalat tasawwurat aur misconceptions ko door karney mein bhi kamiyabi hasil kar chukey hain.

No comments:

Post a Comment