Pages

Sunday 21 August 2011

Zakar Ki Kamzori Ki Alamat

Zakar Ki Jarr Per Baal Kamzori Ki Alamat…?

Baloghat mein har naujawan kay zer e naaf baal ugg aatey hain jo kay baloghat ki nishani hai. Islam mein inn baalo'n ko har 15 din ba'ad saaf karney ka hukum hai. Ba'az logon ka khayal hai kay safaee kay elawa iss sey mein bhi izafa hota hai. Ba'az auqaat zakar kay neechey waley hissey yani jarr per bhi baal ugg aatey hain. Iss surat mein bhi pareshan honay ki zaroorat nahin kyun kay yeh koi kharabi ya beemari nahin. Iss tarah mardon ki chaati per bhi baal hotey hain, kisi kay zyada, kisi kay kam aur kisi kay nahin bhi hotey. Yeh sab kuch normal hai albatta agar kisi fard kay chehrey aur zer e naaf baal na aaein to kisi achey doctor sey mashwara karein magar iska bhi fard ki mardana quwwat kay sath koi ta'alluq nahin. (mubeen)

Zakar Ka Ek Taraf Jhuka Hona Kamzori Ki Alamat…?

Aksar naujawanon ka khayal hota hai kay zakar ko pencil ki tarah seedha hona chahiyie na kay da'ein, ba'ein, ooper ya neechey ko jhuka hua. Akrra hua zakar da'ein taraf ko terha hota hai ya ba'ein taraf ko. Kisi ka ooper aur kisi ka neechey jhuka hota hai. Bohut hi kam logon ka akrra zakar bilkul seedha hota hai. Aisa hona bhi mushkil hai kyun kay zakar haddi ya kisi sakht cheez ka bana hua nahin hota (agarcha ba'az janwaron kay zakar mein haddi hoti hai) bulk ay narm gosht ka bana hota hai. Jab iss mein zyada khoon jata hai aur doosri taraf kam khoon nikalta hai to yeh akarr jata hai aur phir yeh kisi na kisi taraf murr jata hai. Amooman 85% logon ka zakar baei'n taraf ko terha hota hai, isi tarah amomman fard ka baya'n khusya (testicle) daei'n sey kuch neechey hota hai.

No comments:

Post a Comment