Pages

Friday 5 August 2011

Erection Problems Solutions

Yani 30 saal ki umer mein fard jismani tor per 20 saal ki umer ki tarah mu'asser (efficient) nahin hota. Agarcha iss ki karkardagi bilkul khatam nahin ho jati. Zakar kay sath bhi yehi mu'amla hai. Yani umer kay barhney kay sath doosrey jismani a'aza ki tarah jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar kay tanau aur sakhti mein qadrey kami aa jati hai. Yeh ek fitri amal hai jis sey pareshan honay ki zaroorat nahin. (zakar ki sakhti mein kami kay bawajood agar fard ki amoomi sehat theek hai to woh martey dum tk mubashrat kay qabil hota hai, agarcha 60 saal kay ba'ad ba'az logon ko shakhsi (self) ya biwi ki taraf sey ishte'aal (stimulation) ki zaroorat parrti hai).

Kya Apni Marzi Sey Tanau Paeda Kya Ja Sakta Hai…?

Ba'az naujawanon ka khayal hai kay jis tarah fard apni marzi sey jab chahey apni ungli ya bazu ko khara krsakta isi tarah woh apni marzi sey jab bhi chahey apney zakar ko akrra sakta hai. Magar jab woh aisa nahin kar pata to pareshan ho jata hai aur apney aap ko jinsi tor per kamzor aur na mard khayal karta hai. Yeh baat zehen mein rakhein kay tanau ka ta'alluq fard kay dimagh aur jism kay sath hai aur yeh tanau apni marzi, khwahish aur hukum (order) sey paeda nahin kya ja sakta yani koi fard humesha apni marzi sey tanau paeda nahin karsakta. Isi liye mahireen kehtey hain kay apni marzi sey har cheez hasil ki jasakti hai siwaey tanau kay. Darasal yeh bhook ki tarah ka ek uzwiati (physiological) amal (process) hai jis tarah koi fard apni marzi sey bhook paeda nahin kar sakta isi tarah

No comments:

Post a Comment