Pages

Friday 26 August 2011

Erectile Dysfunction Treatment - Eric Aid System

6. 8th day system sey tanau (erection) paeda karney kay baad zakar ki base per rubber ka ring charha dein jis sey tanau (erection) khatam naa hoga. 15 minute kay baad ring utardeyn aur phir dekhein kay tanau (erection) kitni der tak qaim rehta hai. Yeh mushq pura hafta karein.

7. 3rd Week yehi mushq karein. 15 minute kay baad ring utar dein. Tanau (erection) kam honay per chiknay hath sey musht zani karein aur tanau (erection) ko zyada karein. Jab tanau (erection) bhar jaey to dheyan kisi aur taraf ley ja kar tanau (erection) ko kam karein. Tanau (erection) kam honay per bhi mushtzani karain. Tanau (erection) honay per phir tawajjuh kisi aur taraf ley ja kar tanau (erection) kam karein. Iss tarhan 4 time musht zani karein. Musht zani kartey huey yeh tasawwur karna bohut mufeed hoga kay koi pasandeeda aurat aap ki musht zani kar rahi hai. Isi tarhan sabqa dekhi gaee porn movie ka tasawwur karna bhi mufeed hoga. Iss mushq mein inzal naa ho. Inzal sey pehley ruk jaein. Agar kabhi ho jaey to pareshan na hun. Mushq jari rakhein.

8. Pura hafta yeh mushq jari rakhein yeh iss waqt tak jari rakhein jab tak aap puri tarhan mutmain nahi ho jatey. (Zilbergled)

9. Iss doran mein inzal wali musht zani nahi karni.

10. Mardana quwwat ko check karney kay liye zina nahi karna.

Erectile Dysfunction Treatment - Eric Aid System

12. Agar 4 haftey ki mushq kay baad bhi tanau (erection) paeda na ho to phir doosra tariqa use karein Warna kisi achey mahir e nafsiyat sey milein jo jinsi masail mein bhi mahir ho. Doctors ki tarhan har mahir e nafsiyat jinsi masail ka mahir nahi hota.

Eric Aid System

Namardi kay elaj ka adviyaat kay baghaer doosra kamiyab tariqa Eric Aid Systemka istaemaal hai. yeh system bazar sey 2000 sey 10000 tak mil jata hai. Jis shop sey aap yeh system leingey woh aap ko iss ka tariqa e istaemaal bata dey ga. Yeh ek bohut hi useful aur mehfooz tariqa elaj hai.

  1. Mushq kay liye 20 minutes sey 30 minutes karein.
  2. Yeh mushq rozana karein.
  3. Mushq ko aisey waqt karein jab aap bohut pursukoon hun. Iss doran mein koi aap ko disturb naa karey. Behtar hai ka rozana ek hi waqt mushq karein.
  4. System ki madad sey tanau (erection) paeda karein. Jab tanau (erection) mukammal ho jaey to 5 minute kay baad air kharij kar kay tanau (erection) ko kam ya khatam karein. 1 or 2 minute kay baad phir tanau (erection) paeda karein. 5 minute kay baad air kharij karein. 1 or 2 minute kay baad phir tanau (erection) paida karein. 5 minute kay baad air kharij karein. Iss tarhan yeh mushq 4 time karein.
  5. Yeh mushq aap nay rozana pura ek hafta karni hai. Mushq kay doran mein agar kabhi inzal ho jaey to pareshan nahi hona. aisa hojata hai.
Erectile Dysfunction Help Yourself - Apni Madad Aap

7. 5th day apney hath ko chikna karein aur apney zakar, khusyey aur maqad aur khusiyun kay darmiyan ki jagah (perineum) ko mushta'el karein. Khusoosan zakar ki glans aur iss kay outer ring aur topi kay nichley hissey ko jahan per topi aur shaft aapas mein mil rahey hain. Inn per hath phaerein. Massage karein, thapthapaein aur bheenchein etc ya apney pasandeeda tariqey sey mushtzani karein. Iss doran mein yeh tasawwur karein kay koi pasandeeda khatoon aap ki mushtzani kar rahi hain. Iss kay sath sath sabqa dekhi gaee blue flim ka tasawwur karein. Yeh mushq rozana karein. Amooman 1 haftey kay ander ander tanau (erection) paeda ho jata hai. Tahem 1 haftey sey zyada waqt bhi lag sakta hai.

8. Iss mushq kay doran mein jab tanau (erection) ho jaey to dheyan kisi aur taraf ley jaein ta kay tanau (erection) kam ho jaey. Iss kay liye 100 sey ulti counting shuru kardein. Erection kam honay per phir musht zani karein hutta ka tanau (erection) hasil ho jaey. Tanau (erection) honay per phir dheyan doosri taraf ley ja kar tanau (erection) kam karein. Tanau (erection) kam honay per phir musht zani karein. Iss tarhan 4 baar yeh mushq karein. Iss mushq mein inzal naa ho, hojaey to pareshan na hun. Mushq jari rakhein.

9. Amooman 3 haftey mein tanau (erection) aanaa shuru ho jata hai. Zyada waqt bhi lag sakta hai iss doran mein pursukoon rahein. Aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai.

10. Iss doran mein inzal wali musht zani hargiz naa karein.

11. Mardana quwwat ko check karney kay liye zina naa karein.

Erectile Dysfunction Help Yourself - Apni Madad Aap
  • Agar 3rd week kay baad bhi aap ka masla hal na ho to phir kisi mahir e nafsiyat sey mileyn jo jinsi masa'el ka bhi mahir ho. Har mahir e nafsiyat jinsi masail ka mahir nahi hota.
  • Amooman pehley hi week fard ko tanau (erection) hasil ho jata hai.

Apni Madad Aap (Erectile Dysfunction Help Yourself)

  1. Iss mushq kay liye 20 sey 30 minute use karein.
  2. Yeh mushq rozana karein.
  3. Yeh mushq iss waqt karein jab aap bohut pursukoon hun aur koi aap ko disturb naa karey. Behter hai ka rozana ek hi waqt karein.
  4. Kisi pursukoon place neem tareeki mein bister per mukammal naked ho kar laet jaein.
  5. 5 minute kay liye isi tarhan sukoon sey letey rahein.
  6. 5 minute kay baad apney jism per hath phaernaa shuru kardein. Massage karein. Thapthapaein, chutki lein. Ahista ahista mukkay marein, iss mushq mein zakar ko touch naa karein aur naa hi iss ki taraf dheyan dein. Aap ki sari tawajjuh touch aur feelings per ho jo mushq kay doran mein mahsoos karein. Iss mushq ka maqsad tanau (erection) nahi. Iss mushq mein aap sabqa dekhi gaee blue film ka tasawwur karein. Yeh bhi tasawwur kar saktey hain kay koi pasandeeda aurat aap kay jism per hath phaer rahi hai. Yeh mushq musalsal 4 din karni chahiyie.
Erectile Dysfunction Home Remedies

Ab mian bhi neechey sey strokes lagaey. Jab iss position mein aap ka aitemaad bahaal ho jaey to phir week kay baad aap apni pasand ki postion use kar saktey hain albatta shuru mein biwi aap ko mushta'el karey, bharpoor tanau (erection) honay per aap mubaashirat (intercourse) shuru karein, strokes lagaein aur agar aap ka tanau (erection) kam ho jaey to biwi sey alaehda ho jaein. Biwi pihr aap ko pehley ki tarhan mushta'el karey aur tanau (erection) mukammal honay per aap phir dakhil kar dein. Kuch mushq kay baad aap ko biwi ki taraf sey stimulation ki zaroorat nahi hogi.

  • Yeh mushq rozana 30 minute kay liye ki jaey.
  • Aap ney khud tanau (erection) paeda karney ki koshish nahi karni.
  • Mushq kay doran mein apni sari tawajjuh jinsi ehsasaat aur lutf per markooz karein.
  • Zakar ko chikney hath sey mushta'el karein.
  • Jinsi mughalton ko door karney kay liye aap hamari book "Sex educaation___Sab kay liye" zaroor read karein.
  • Mubaashirat (intercourse) kay waqt aap koi jinsi tasawwur karein jis sey aap bohut purjosh mehsoos karein.
  • Iss doran mein aap ney mushtzani nahi karni.
  • Pehley 2 weeks aap ney mubaashirat (intercourse) nahi karna lekin agar control mushkil ho to karney mein koi harj nahi.
Erectile Dysfunction Home Remedies

Saharey kay liye biwi peechey bed ya deewar kay sath taik laga ley. Yeh mian pusht kay bal seedha laet jaey aur biwi iss kay pas iss kay sareen kay baraber side per beth jaey. ab biwi mian ki pasand kay mutabiq iss kay zakar ko mushta'el karey. Mian biwi ki rehnumaee karey ka woh isey ki tarhan kaha aur kis raftar sey mushta'el karey. Jab mukammal tanau (erection) hojaey to biwi stimulation ko rok dey yeh zakar ki topi ko zor sey bheenchey takay tanau (erection) khatam hojaey. Tanau (erection) khatam honay per biwi phi rap kay zakar ko mushta'el karey. Mukammal tanau (erection) honay per stimulation ko rok dein yeh zakar ki topi ko bhenchai hutta kay tanau (erection) khatam hojaey. Iss tarhan yeh practive 30 minute mu'nhsalsa jari rahey. Third week biwi yehi mushq karey. Jab bhar poor tanau (erection) hojaey to stimulation ko badn karadey yeh zakar ko bhenchai takay tanau (erection) khatam hojaey. Tanau (erection) khatam honay per biwi phir zakar ko mushta'el karey, bhar poor tanau (erection) honay per woh stimulation ko kihatam kardey yeh zakar ko bhenchai takay tanau (erection) kam hojaey. Agla qadam mubaashirat (intercourse) ka hoga. Biwi phi rap ko mushta'el karey (Agar tanau (erection) bharpoor naa ho to mubaashirat (intercourse) naa karein balka sabqa tareeqa jari rakhain) aap pusht kay bal bister per leyt jaeyn, taangein sedhi hun, biwi aap kay ooper iss tarhan bethey ka iss ki taangein aap kay donon taraf hun. Iss ka weight iss ki taangein per ho. Ab woh phir pehley ki tarhan aap kay zakar ko mushta'el karey bharpoor tanau (erection) honay per thora sa agai ko jhuk kar zakar ko faraj mein dakhil karey phir ahista ahista ooper neechey harkat karey magar biwi orgasm hasil karney ki koshish naa karey. biwi ki harkat sey tanau (erection) amooman ziyada hojaati hai iss doran mein aap koi jinsi tasawur aur apni tawajja iss tasawur per markooz rakhain. Yeh bohut zaroori hai agar tanau (erection) kam hjojaey to biwi alaehda hojaey aur phir pehley ki tarhan aap kay zakar ko mushta'el karey aur bharpoor tanau (erection) honay per phir zakar ko apni faraj mein dakhil karey aur ooper neechey strokes lagai.

Erectile Dysfunction Home Remedies

lekin agar aap kay liye control karna mushkil ho to mubaashirat (intercourse) ki ja sakti hai. Amooman 2 weeks ki mushq kay baad fard mubaashirat (intercourse) karleta hai.

2. Yeh mushq sirf iss soorat mein mu'asser aur kamiyab hogi jab biwi bharpoor shirkat karey. Iss mushq mein buniyadi kirdar biwi ka hai. Lehaza isey aitemad mein lein. biwi hamari book " mein sey "Mardon kay jinsi masail kay hal mein biwi ka masbat kirdar" wala hissa read karein. Iss mushq kay doran mein mian ney mubashrat (intercourse) aur musht zani nahi karni. Mushq kay liye rozana 30 minute ka waqt muqarrar kya jaey. Mushq iss waqt ki jaey jab donon pursukoon hun. Raat ko kaam sey farigh ho kar karni zyada munasib hogi.

Pyar mohabbat aur kissing sey mushq ka aaghaz karein. Phir dress utar liye jaeyn aur foreplay sey lutfandoz hun. Donon ek doosrey kay pasandeeda tariqey sey foreplay karein. Pehley 2 din ek doosrey kay hassas hisson ko touch nahi karna. Hutta kay biwi kay pistaan ko bhi naa chaerein. Next 2 days bharpoor foreplay ho, jis mein ek doosrey kay hassas hisson ko iss ki pasand kay mutabiq touch kya jaey. Tahem zyada tawajjuh mian ko mushta'el karney per ho. 5th day foreplay kay baad biwi mian kay aaza e makhsoosa khusyey aur zakar ko mushta'el karey. Iss kay liye mian pusht kay bal bed per laet jaey, knees kharey hun aur taangein bed per flat hun. Biwi mian ki taangon kay darmiyan iss tarhan bethey kay iss ki taangein mian kay donon taraf bichi hui hun. Mian ki taangein biwi kay sareen kay baraber hun.

Erectile Dysfunction Home Remedies

rabta kya jaey humarey elaj mein amooman 5 sey 10 sessions ki zaroorat parti hai. Aksar auqat 6th session kay baad masla hal ho jata hai.

Jismani elaj kay liye kisi aisey urologist sey rabta kya jaey jo jinsi amraz kay elaj ka bhi mahir ho kisi bhi mahir sey elaj karney sey pehley aap neechey diye gaey tariqon ko use karein. Umeed hai aap mein sey aksar fard iss masley ko hal karlein gey.

  1. Biwi ko aetemaad mein lein, isey bataein kay aap logon ney do haftey mubaashirat (intercourse) nahi karni bul kay ek khas mushq karein. Mushq iss waqt ki jaey jab aap donon bohut pursukoon hun. Behtar hai kay yeh mushq raat ko sotey waqt ki jaey jab donon pursukoon hun. Pehley 4 din foreplay karna hai. Pehley dress kay sath phir baghair dress kay. Pehley 4 din ek doosrey kay aaza makhsoosa ko nahi chunaa. Fifth day aap biwi kay pistaan aur doosrey aaza e makhsoosa ko mushta'el karein gey aur biwi aap kay aaza e makhsoosa ko mushta'el karey gi. 2nd week bharpoor foreplay ho jis mein biwi aap kay aaza e makhsoosa khusoosan khusyey aur zakar ko mukhtalif andaaz sey mushta'el karey aap bhi biwi kay hassas jinsi aaza ko mukhtalif andaaz sey mushta'el karein, foreplay ki iss mushq mein biwi active kirdar ada karey. Iss kay liye woh hamari doosri book " mein foreplay waley hissey ka muta'alla karey. Amooman 2 weeks mein aap ko bharpoor tanau (erection) hasil ho jaey ga. Behtar hai kay iss doran mein mubaashirat (intercourse) na karein.
Erectile Dysfunction Treatment - Medicines

Iss system ko har fard use kar sakta hai. Tahem har fard kay liye ek jaisa mu'asser nahi, baaz afraad ko iss sey bharpoor tanau (erection) hasil nahi hota. Agarcha bohut bariaksariyat iss sey mustafeed hoti hai. Yeh system sugar aur heart kay mareezon kay liye bohut useful hai. Baaz log isey naa pasand kartey hain kyun kay yeh masnoee sa lagta hai. Baaz afraad ko rubber kay ring ki wajah sey takleef hoti hai aur baaz auqat inzal kay waqt mani (semen) baher kharij nahi ho pati bul kay masaney (bladder) mein chali jati hai aur phir peeshab kay sath kharij hoti hai. Tahem majmoee tor per yeh ek useful aur safe tariqa hai iss kay use ki tafseel aagey aaey gi.

7. Erectile dysfunction treatment kay liye market mein bohut si medicines (adviyaat) mojood hain. Inn mein sab sey useful sidenafil hai jo market mein Viagra kay naam sey mojood hai. Iss kay elawa yohimbine, ginseng aur gingko biloba bhi kafi useful hain.Medicines mein sab sey zyada popular Viagra hai. Yeh har fard kay liye mu'asser nahi. Baaz afraad kay liye to yeh muhlik hai. Lehaza isey apney tor per use naa karein bul kay kisi mahir sey mashwara kay baad hi iss ka use karein. Iss ki tafseel aagey aaey gi.

Ab hum aap ko kuch aisey tariqey bataein gey jin ki madad sey aap khud hi erectile dysfunction ka masla hal karlein gey. Sab sey pehley to yeh maloom kya jaey kay masla nafsiyati hai ya jismani. Agar aap ko kisi bhi waqt bharpoor tanau (erection) hota hai to aap ka masla nafsiyati hai warna jismani. Jawani mein erectile dysfunction ka masla taqreeban hamesha nafsiyati hota hai. Nafsiyati elaj kay liye kisi achey mahir e nafsiyat sey jo tajziyaati elaj (treatment) aur jinsi masail ka mahir ho,

Erectile Dysfunction Treatment - Eric Aid System

Aisi soorat mein 3 hours kay ander first aid lein. Merey paas ek mareez aya. Iss ney tanau (erection) kay liye injection lagwaya. Yeh tanau (erection) mubashrat (intercourse)kay baad bhi khatam naa hua to isey fori first aid leni pari. Magar ab bhi isey mukammal erecion nahi hota. Waisey aaj kal aisa bohut kam hota hai.

4. Fori tanau (erection) kay liye amooman zakar mein injection lagaya jata hai magar dard ki wajah sey isey pasand nahi kya jata. Chunancha mahireen ney ek naya tariqa use kya jis sey tanau (erection) hasil kya ja sakta hai. Iss tariqey mein zakar ki naaliyun mein medicine ki tablet ek khas tariqey sey dakhil ki jati hai jis sey fard fori tanau (erection) hasil karlyta hai.

5. Tanau (erection) kay masley ko hal karney kay liye ab aisi creams market mein aa gai hain jin ko zakar kay ooper mala jata hai jis sey tanau (erection) paeda ho jata hai. Magar yeh tariqa zyada mua'ssar nahi.

6. Vacuum system jo kay Eric Aid System kehlata hai erection paeda karney ka ek useful tariqa hai. Iss mein ek cylinder aur pump hota hai. Cylinder ko zakar kay ooper charha kar pump use kiya jata hai jis ki wajah sey blood ki naaliyan khul jati hain aur wahan zyada blood chala jata hai aur fard foran tanau (erection) hasil kar leta hai. Tanau (erection) kay baad zakar ki base per rubber ka ek ring charha dya jata hai jo blood ko wapis nahi janey deta. Iss mein fard inzal ho jata hai magar tanau (erection) iss waqt tak khatam nahi hota jab tak ring ko utaar na liya jaey. Agar ring half hour sey zyada charha rahey to zakar ko nuqsan pohonch sakta hai. Lehaza aadhey ghantey kay baad ring ko utar diya jaey. Eric Aid System ko jald inzal honay kay masley kay liye bhi use kiya ja sakta hai.

Erectile Dysfunction Treatment - Jinsi Kamzori Ka Elaj
  • Naasha-awar ashiya maslan heroin etc
  • Cholestrol ko kam karney wali medicine
  • Weight ko kam karney wali medicine jo sliming center waley use kartey hain.

Elaj (Treatment)

Aaj kay taraqqi yafta daur mein erectile dysfunction ko taqreeban 100% hal kya ja sakta hai. Iss kay treatment kay bohut sey tariqey hain. Inn mein sey chand ahem darj zael hain.

  1. Operation kay zariye zakar mein rod dal di jati hai. Iss ki kaee aqsam hain. Yeh ek expensive elaj hai aur zyada kamiyab bhi nahi hai. Iss sey kaee tarhan kay masail paeda ho jatey hain. Iss tarhan kay operation Pakistan mein nahi hotey.
  2. Agar blood ki naaliyun kay tang honay ki wajah sey yeh masla paeda ho to aala qism ki surgery ki madad sey inn naaliyun ko khol dya jata hai.
  3. Fori tanau (erection) kay liye zakar mein injection lagaya ja sakta hai. Aaj kal to market mein aisey injection mojood hain jinhein fard khud bhi laga sakta hai. Injection ki madad sey 10 minute mein tanau (erection) paeda ho jata hai. Yeh elaj zyada popular nahi ho saka. Fard needle ka dard mehsoos karta hai. Zakar kay tissues zakhmi ho jatey hain. Baaz auqat tanau (erection) khatam nahi hota. Agar erection 4 hours sey zyada der rahey to fard mustaqil tor per nakara ho jata hai.
Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohat
  • Khusyey ki scrotum ki baaz bemariyan
  • Gurdon ki baaz bemariyan
  • Dard ka khauf maslan joron ka dard etc

Adviyaat (Medicines)

Bohut si adviyaat (medicines) kay side effects ki wajah sey bhi yeh masla paeda hojata hai. Ahem adviyaat neechey di gai hain.

  • Antibitoics Adviyaat
  • Blood pressure ki Adviyaat
  • Depression ki Adviyaat
  • Anxiety ki Adviyaat
  • Lithium
  • Maedey ki baaz Adviyaat
  • Dil kay Amraaz ki Adviyaat
  • Zehni Amraaz Ki Adviyaat
  • Tranqulizers, Sedatives maslan Valium etc
Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohat

Iss ki wajah sey baaz logon ko tanau (erection) nahi hota. Aisi sorat mein agar erectile dysfunction 1 year sey ziyada rahey to phir amooman surgery ki zaroorat hoti hai. Iss beemari ki amomi wajah vitamin E ki kami hoti hai baaz aauqat yeh masla khud hi theek hojata hai.

Bisyaar Khori (Over Eating)

Zyada khana aur motapa bhi erectile dysfunction (jinsi karkardigi mein kami) ki ek wajah ban sakta hai lehaza weight ko kam rakhain.

Doosri Beemariyan (other diseases)

Neechey dii gaee beemariyon ki wajah sey bhi erectile dysfunction ka masla paeda ho sakta hai.

  • Blood ki naaliyun ki beemari vascular disorders maslan blood pressure etc
  • Jigar ki baaz beemariyan maslan cirrhosis
  • Dil kay amraaz
  • Hormones ka ghaer mutawazin hojana maslan prolectan ki zyaditi
  • Paet, prostate ya pelvis kay cancer ka operation
  • Cholestrol ki zyaditi
More Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohat

khusoosan agar musalsal naahamwar jagah per cycle chalaee jaey. Aisi sorat mein naahamwar jagah per cycle chalatey huai apney sareen (hips) ko cycle ki seat sey ooper uthalein. Albatta kuch hours cycle chalanay sey yeh masla paida nahi hota. Tahem iss sorat mein bhi naahamwar satah per cycle chalatey huay apni seat sey zara ooper uth jaeyn.

Aasabi Beemariyan (Neurological Disease)

Aisi koi beemari jo brain kay hissey ko nuqsan pohonchaey jis ka ta'alluq tanau (erection) kay sath hai ya tanau (erection) paida karney waley aasab mein koi kharabi paeda ho jaey to yeh bhi iss masley ka sabab ban sakti hai. Below menion bemariyan iss ka sabab ban sakti hain. Reerdh ki bone ka tumor, Herniated Disc, Parkinsons disease, Multiple sclerosis.

Zakar Ki Banawat Mein Tabdeeli (Penis Structural Changes)

Umar kay bharnay kay sath zakar ki lachak mein kami aa jati hai jis ki wajah sey baaz afraad ka zakar puri tarhan nahi phailta iss tarhan woh lambaee aur choraee mein chota ho jata hai. Yeh tabdeeli bhi tanau (erection) ka masla paeda kar deti hai.

Peyronie's Disease

Iss mardanaa beemari mein zakar mein tanau (erection) paida karney waley tissuiss sukht hojaatey hain aur tanau (erection) mein zakar ooper yeh neechey ko rotate hojata hai. Agar zakar neechey ko ziyada rotate hojaey to mubaashirat (intercourse) mein dakhool nahi hosakta. Iss kay elawa iss beemari mein jab zakar mein tanau (erection) paida hojata hai to fard ko shadeed dard hota hai.

Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohat

Sugar (Diabetes)

Tanau (erection) kay masley ki ek bari wajah sugar ki beemari hai. Iss beemari mein 50% marezon ko yeh masla hojata hai yeh beemari Humarey nizam asbi aur vascular system ko muta'assir karti hai. Iss mein tanau (erection) paida karney aur barqarar rakhney waley aasab aur blood ki naaliyun ko nuqsan pohonchta hai. Ek research sey maloom hua kay ausatan sugar kay marez mard doosrey logon sey 10 sey 15 year pehley jinsi kamzori ka masleyka shikar hojaatey hain. Sugar kay 10% marezon mein iss beemari ki pahli alamat tanau (erection) ka masla hota hai.

Surgery

Kaee tarhan kay operation bhi yeh masla paida kar detey hain. Khusoosan prostate ki surgery, woh aasab jo brain sey zakar ko jaatey hain. Woh prostrate kay qareeb sey guzartai hain. Surgery mein baaz auqat yeh aasab cut jaatey hain khusoosan prostrate kay cancer kay operaation mein to aksar logon kay yeh aasab cut jaatey hain aur fard jinsi kamzori ka shikar hojata hai. Iss kay elawa masaney au rbari aant kay last hissey yeh rectal kay cancer kay operaation mein bhi yeh aasab cut jaatey hain. Iss surgery mein bhi yeh masla paida ho sakta hai. Tahem ek acha surgen en aasab ko bacha sakta hai.

Cycle Ki Sawari

Zyada cycle chalaney sey bhi yeh masla paeda ho jata hai. Iss sorat mein zakar mein tanau (erection) paida karney waley aasab muta'assir hotey hain,

Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohat

jis ki wajah sey fard ko tanau (erection) ka masla paida hojata hai. aj kal cigarette noshi bhi naa mardi ki ek ahem wajah hai.

Chot

Sar aur back bone kay doosrey aur teesrey mohrai ko chot lagnay sey bhi mardana quwwat kam ya bilkul khatam ho jati hai. Isi tarhan khusyey aur Peeshab ki naali ki chot sey bhi yeh masla paeda ho jata hai.

Jinsi Hormone Ki Kami

Baaz auqat iss masley ki wajah jinsi harmone testosterone ki kami hoti hai. Aisey afraad ki tadaad 5% hai. Iss ki kami ko jannaa koi mushkil nahi. Agar aap ko tanau (erection) kay masley kay sath jinsi khwahish ki kami ka masla bhi hai aap ka mushtzani ya mubaashirat (intercourse) ko dil nahi karta. Kisi khoobsurat aurat ko dekh kar jinsi khwahish paeda nahi hoti to zyada imkan yehi hai kay aap kay jinsi hormone ki satah normal sey kam hai. Lab test sey bhi testosterone ki satah ka pata chal sakta hai. Yeh test blood lay kar kya jata hai.

Atherosclerosis

Iss beemari mein fard ki artries sukht ho jati hain. Inn kay ander kuch ma'addey jama ho jatey hain jis ki wajah sey yeh sukht aur tang ho jati hain. Inn mein blood ka flow kam ho jata hai aur tanau (erection) nahi hota ya pura nahi hota. (Fard ko tanau (erection) tab hota hai jab zakar ki naaliyun mein blood jata hai) iss ki amomi wajah cholestrol ki zyadati, cigarette noshi, blood pressure aur sugar ki beemari hoti hai.

Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohaat

Inn afraad mein sey kuch apni mardana quwwat check karney kay liye kisi Paeshawar aurat kay paas jatey hain. Aap kabhi aisa naa karein. Kabhi mardana quwwat ko check karney kay liye zina na karein. Ek to yeh gunah kabeera hai doosra iss mein khatarnak jinsi beemari lagney kay bharpoor imkanaat mojood hotey hain. Teesrey iss koshish mein fard phir nakami kay khauf sey nakam ho jata hai aur iss tarhan iss ki namardi per mohar lag jati hai. Halan kay aisa fard bilkul normal hota hai aur isey nafsiyaati elaj ki zaroorat hoti hai.

Jinsi Beemari Ka Khauf

Jinsi beemari ka khauf bhi fard ki jinsi karkardagi ko kam aur khatam kar deta hai. Mera ek mareez ek pisshaawar aurat kay pas gaya. Jonhi woh mubaashirat (intercourse) shuru karney laga to foran isey khayal aya ka kahi usko AIDs naa lag jaey to foran iss ka tanau (erection) khatam hogaya. Phir woh taweel arsey tak iss qabil hi naa raha.

Sharab

Sharab shuru mein fard ko jinsi tor per stimulate karti hai magar phir yeh tanau (erection) ko manfi tor per muta'assir karti hai hutta kay aksar sharab noshi fard ko naamard banaa kar iss ki azdawaji zindagi aur khushiyon ko khatam kar deti hai.

Cigarette Noshi

New research sey yeh baat saamney aai hai kay cigarette noshi sey blood ki naaliyan sukarr jati hain jis ki wajah sey zakar ko munasib miqdar mein blood nahi milta

Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohaat

Boriyat (Boredom)

Baaz Auqat jinsi kamzori ki wajah bari dilchasp hoti hai. Baaz log ek lamba arsa ek hi tariqey sey azdawaji faraiz ada kartey hain. Wohi room, wohi sathi aur wohi tariqa etc jis ki wajah sey fard boriyat mehsoos karta hai aur isski sex mein dilchaspi kam ho jati hai. Dilchaspi kam honay sey tanau (erection) bhi muta'assir hota hai.

Jinsi Amal Sey Perhaez

Agar arsa daraz tak jinsi amal sey perhaez kya jaey ya fard ko jinsi amal ka moqa na miley to bhi fard ki jinsi karkardagi mein kami aa jati hai kyun kay insan apney jin aazaa ko istemaal nahin karta unki karkardagi kam hojati hai.

Thakawat (Tiredness, Fatigue)

Aaj ka daur mehnat aur muqabley ka daur hai. Kamiyabi aur zinda rehney kay liye har fard sakht mehnat karta hai. Sakht mehnat kay baad raat ko jab woh ghar aata hai to thakawat sey choor ho chuka hota hai. Ab woh mukammal aaram chahta hai. Iss thakawat ki wajah sey aksar logon ki jinsi khwahish bhi khatam hojati hai. Jinsi khwahish ki adam mojoodgi mein tanau (erection) hasil karna mushkil hojata hai. Aisi sorat mein biwi ki khwahish per ya apni marzi sey mubaashirat (intercourse) ki koshish karta hai to woh nakam ho jata hai. Doosri bar nakami kay khauf ki wajah sey nakam ho kar mustaqil mardana kamzori ka mareez ban jata hai. Aisey fard ko aam halaat mein to tanau (erection) hota hai magar mubaashirat (intercourse) kay waqt nahi hota ya dakhool kay waqt khatam ho jata hai.

Erectile Dysfunction Causes - Jinsi Kamzori Wajoohaat

Doosrey din iss ko khuaf hota hai kay shayad aaj phir woh nakam ho jaey to iss anxiety aur khauf ki wajah sey woh nakam ho jata hai iss tarhan ek do baar nakam honay per isey yaqeen ho jata hai kay woh namard ho chuka hai.

Depression

Depression ek fazool nafsiyati beemari hai jis mein fard shadeed udasi, afsurdigi aur tanhai mehsoos karta hai. Kuch karney ko dil nahi karta, kuch acha nahi lagta. Iss marz mein aksar marezoon ki jinsi aur jenay ki khwahish khatam hojaati hai. Jinsi khwahish kay khatmein ki wajah sey woh tanau (erection) mehsoos nahi karta aur naamardi ka shikar hojata hai. Chunancha naamardi ki ek ahem wajah Depression hai. Depression ki adviyat bhi mardanaa kamzori ka sabab banti hain. Agarcha Depression ki baaz medicine maslan desyrel ka asar ulat hota hai yani yeh naamardi ko khatam karti hai.

Ehsaas e Gunah (Guilt)

Naujawan wakeel ki jald shadi honay wali thi. Magar ussey puri tarhan tanau (erection) naa hota tha. Iss naujawan ka ta'alluq ek mazhabi gharanay sey tha. Ab isey khauf tha kay woh shadi mein kamiyab naa hoga. Intercourse naa kar sakeyga. Nafsiyaati tajziya sey maloom hua kay kuch saal pehley iss ko kam az kam 3 bar zina ka moqa mila aur iss ney zina ki koshish ki magar lasharoi ehsaas e gunah ki wajah sey ussey tanau (erection) naa hua aur woh nakam ho gaya. Iss kay baad isey yaqeen ho gaya kay woh mardanaa kamzori ka shikar hai.

Erectile Dysfunction Causes Psychological - Jinsi Kamzori

Jis ki wajah sey jinsi khwahish aur tanau (erection) kam hojata hai aur woh mubaashirat (intercourse) mein naakam hojata hai jab zehni dabao ki wajah sey fard 1 or 2 bar mubaashirat (intercourse) mein naakam rehta hai to phir sharmindagi ki wajah sey biwi kay pas nahi jata jis ki wajah sey naa sirf ghar ka mahool tense hojata hai balka fard mu'nhstaqil tor pe namardi ka shikar hojata hai halan kay jis tarhan ek do bar khansi anay sey fard ko TB nahi hojaati isi tarhan ek do bar tanau (erection) naa honay sey fard naa mard nahi ho jata. Baaz log mubaashirat (intercourse) kay zariya apney zehni dabao ko khatam kar leytai hain.

Nakami Ka Khauf (Fear Of Failure)

Namardi ki ek ahem wajah nakami ka khuaf hota hai. Fard samajhta hai kay bachpan ki ghalat kariyon ki wajah sey woh jinsi tor per kamzor hai aur woh mubaashirat (intercourse) nahi kar sakta. Isey shadeed khauf hota hai kay woh pehli raat nakam ho jaey ga. Phir woh jaisa sochta hai waisa hi ho jata hai. Aksar naujawano'n ko khauf hota hai kay inn sey mubaashirat (intercourse) na hogi aur woh kamiyab na hongey. Chunancha woh nakam ho jatey hain. Bohut sey students exams kay khauf ki wajah sey bharpoor puri tayyari kay bawajood exams mein nakam ho jatey hain.

Tashweesh (Anxiety)

Aaj ki duniya tashweesh (anxiety) ki duniya hai. Har fard kisi naa kisi tashweesh ya khatrat mein mubtila hai iss tashweesh ki wajah sey baaz auqat fard ko tanau (erection) nahi hota. Tanau (erection) naa honay sey fard khaufzada ho jata hai.

Erectile Dysfunction Causes Psychological - Jinsi Kamzori

Musannif ney iss baat per bohut zor dya tha kay iss sey fard mardana kamzori ka shikar ho jata hai aur shadi kay qabil nahi rehta. Iss pamphlet ko parhney kay baad woh mardana kamzori mehsoos karney laga aur elaj kay liye ek hakeem kay pas gaya. Hakeem sahib ney iss ko check kara aur zor dey kar kaha kay woh jinsi tor per khatam ho chuka hai. Iss kay baad iss kay zakar ka tanau (erection) bilkul khatam ho gaya.

Humarey elaj sey kuch sessions kay baad woh bilkul normal ho gaya. Humarey yahan na mardi ki sab sey bari wajah mushtzani kay hawaley sey muzir asraat ka khauf hai halan kay duniya bhar ki tehqeeqat sey sabit ho chuka hai kay iss kay kisi tarhan kay koi nuqsanaat nahi.

Maazi Ka Waqiya (Past Experience)

50 sala Rehmat guzishta 2 saal sey mubaashirat (intercourse) nahi kar saka. Isey aam halaat mein tanau (erection) hota magar junhi mubaashirat (intercourse) ki koshish karta tanau (erection) khatam ho jata. Nafsiyati tajziye sey maloom hua kay 2 year pehley woh raat kay waqt biwi kay sath intercourse mein masroof tha kay kisi bachey ney darwaza knock kya to khauf sey foran iss ka tanau (erection) khatam ho gaya. Iss kay baad issi lashaouri khauf ki wajah sey woh mubaashirat (intercourse) naa kar saka.

Zehni Dabau (Tension-Stress)

Na mardi ki ek bohut bari wajah zehni dabau hai. Mukhtalif tajurbaat sey sabit hua ka zehni dabau ki wajah sey jinsi testosterone ki paedawar mein kami ho jati hai.

Erectile Dysfunction Causes

Isey yaqeen tha kay ehtilam aur mushtzani ki wajah sey woh jinsi tor per kamzor ho chuka hai. Humarey elaj sey kuch sessions kay baad woh bilkul normal ho gaya.

Puri duniya mein tanau (erection) ka masla aam hai. Ek survey mein maloom hua kayAmerica mein 40 sey 70 saal kay 52% mard kabhi naa kabhi iss masley ka shikar ho jatey hain. British research kay mutabiq 40 saal sey kam umar kay 12 mardon mein sey 1 mard 40 sey 60 saal kay 5 mardon mein sey 1 aur 65 saal sey ooper 2 mardon mein sey ek ko ereciton ka masla hai. Aksar mard zindagi mein kabhi kabhar iss masley ka shikar ho jatey hain. Ek baat zehen mein rahey kay tanau (erection) ka masla koi beemari nahi bul kay yeh kisi beemari ki alamat hai. Jawani mein yeh masla taqreeban 100% nafsiyaati hota hai jab kay 50 saal kay baad zyada tar jismani.

Jinsi Kamzori Ki Ahem Wajoohaat

(Erectile Dysfunction Causes)

Jinsi kamzori ki bohut si wajoohaat mein sey kuch ahem wajoohaat neechey di gai hain.

Mushtzani Kay Nuqsanaat Ka Khauf

26 sala khoob sehatmand Imran ki shadi honay wali the. Isey shak tha kay woh shadi kay qabil nahi. Jab iss kay lashaor ki madad sey iss ka nafsiyati tajziya kya gaya to pata chala kay woh bachpan mein kabhi kabhar mushtzani kar leta tha. Iss doran mein iss nay ek pamphlet parha jis mein mushtzani kay bohut sey nuqsanaat ka zikar tha.

Erectile Dysfunction - Jinsi Kamzori

Yani foreplay kay doran mein bharpoor tanau (erection) hota hai magar junhi mubashrat (intercourse) shuru karney lagtey hain tanau (erection) yakdam khatam ho jata hai. Iss tarhan baaz logon ko bhi kabhi bharpoor tanau (erection) hota hai aur kabhi koshish kay bawajood nahi hota. Guzishta dinon merey paas ek naujawan erectile dysfunction (mardana kamzori) kay liye aya. Iss nay bataya kay woh biwi kay sath bilkul theek hota hai magar doosri aurton kay paas isey tanau (erection) nahi hota. Mein nay kaha kay aap khush qismat hai kay Allah aap ko gunah sey bachata hai. Iss nay elaj kay liye israr kiya. mein ney maazrat kartey huey kaha kay mein aap ko zina kay liye tayyar nahi kar sakta chahey aap mujhey kitni hi fees kyun naa dein. woh mayoos ho kar chala gaya aur mein sukoon aur etminaan ki anokhi kaofiyat mein doob gaya.

Isi tarhan mera ek naujawan mareez jis ki haal hi mein shadi hui thi, sakht pareshani ka shikar tha biwi sey mubashrat (intercourse) sey pehley foreplay kay doran mein isey khoob tanau (erection) hota magar woh jab mubashrat (intercourse) shuru karney lagta to tanau (erection) kam ho jata aur woh zakar penetrate naa kar pata. Kaee bar nakami kay baad ab woh mubashrat (intercourse) sey khaufzada tha aur jinsi khwahish ki taskeen kay liye musht zani karta. Musht zani mein isey bhar poor tanau (erection) hota.

Nafsiyati tajziye sey maloom hua kay baloghat kay shuru kay dinon mein iss nay 4 ya 5 saal ki bachi sey jinsi zyaditi ki koshish ki magar woh pakra gaya. Iss kay elawa uss nay kaee baar apney parents ko mubashrat (intercourse) kartey dekha. Yeh baat isey bohut buri lagi aur isey mubashrat (intercourse) sey khauf aur nafrat hogaee. Jawani mein ek bar kisi janwar sey jinsi amal ki koshish ki aur jald inzal ho gaya aur isey yaqeen ho gaya kay woh kabhi mubashrat (intercourse) nahi kar sakey ga. Baloghat kay shuru kay dinon mein isey ehtilam hota tha aur woh musht zani bhi karleta tha.

Mardon Kay Jinsi Masail__Hal

(Male Sexual Problems)

  • Jinsi Kamzori
  • Sur'at-e-Inzal (Premature Ejaculation)
  • Adum Inzal
  • Mard Ka Orgasm Ka Hasil Naa Karna
  • Jinsi Adum Dilchaspi

Jinsi Kamzori (Erectile Dysfunction)

50 Year old Rasheed ek mamoli educated insan tha. Woh khauf, wahem aur waswason kay elaj kay liye merey paas aya.Tafseeli interview sey maloom hua kay woh shadi shuda tha aur pursukoon zindagi basar kar raha tha. Achanak iss ki biwi ki death hogai. Iss kay chotey chotey bachey thay. Kuch arsey baad iss nay apni sali sey shadi karli. Shadi sey pehley ek hakeem sey Erectile Dysfunction (mardana kamzori) ki dawa li magar iss dawa nay ulta asar kya aur isey har roz ehtelam honay laga. Ab isey yaqeen ho gaya kay woh jinsi kamzori ka shikar hai jis ki wajah sey woh biwi ko mutmain nahi kar sakta hai. Adam etminan ki wajah sey biwi nay doosrey mard kay sath najaez ta'alluqat qaem kar liye, jis ka isey bhi pata ho gaya aur iss ka blood pressure high ho gaya. Ek din iss nay ghussey mein biwi ka gala ghot diya. Woh tarap tarap kar mar gaee. Iss nay adalat mein qatal ka iqrar kar liya. Isey mamooli saza hui aur woh jail sey baher agaya.

Erectile Dysfunction (Jinsi kamzori) ya tanau (erection) ka masla aam hai. Iss silsiley mein baaz logon ko tanau (erection) hota hi nahi. Baaz ka tanau (erection) mukammal aur bharpoor nahi hota jis ki wajah sey woh dakhool nahi kar patey aur baaz ka tanau (erection) zyada der tak nahi rehta.

Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi

Burhapey mein prostate ka barhna aur prostate ka cancer bohut aam hai. Elaj kay liye inka operation karna parta hai jis ki wajah sey amooman mard ki jinsi zindagi khatam ho jati hai.

60 saal ki umar kay baad jinsi amal ko zyada purlutf bananey kia liye zaroori hai kay foreplay taweel ho. Mubaashirat (intercourse) raat kay bajaey subha ki jaey jab fard ko fitri tor per zyada tanau (erection) hota hai. Subha kay waqt fard zyada fresh aur zyada energy mehsoos karta hai. Burhapey mein sex sey bharpoor lutf uthaney kay liye aap ki jismani sehat achi ho. Iss kay liye mutawazin khoorak use karein. Vitamin C aur E ka khusoosi istaemaal karein. Juices aur pani zyada piya karein, sharab aur cigarette noshi bilkul tark kar dein. Zindagi sey stress ko khatam ya kam karein aur halki phulki exercise ka ahtimam karein. Apney doctor sey baqaidigi sey miltey rahein.

Prostate Problems In Men

Ek doosrey kay jinsi aaza ko mushtael kar kay bhi sathi ko jinsi sukoon frahem kya ja sakta hai.

Mahireen kay mutabiq achi jismani aur zehni sehat kay liye regular sex bohut mufeed hai. Master And Johnson ney iss baat per zor diya hai kay burhapey mein achi jismani aur zehni sehat kay liye jinsi sargarmiyan zaroori hain. Inn kay mutabiq burhapey mein jinsi sargarmiyun ko bahaal rakhney kay liye 2 cheezein bohut ahem hain.

  1. Achi Jismani Aur Zehni Sehat
    Mahireen kay khayal kay mutabiq mian biwi jo burhapey mein mubashrat (intercourse) jari rakhtey hain inn ki jismani aur zehni sehat behtar hoti hai.

  2. Jawani Mein Jinsi Amal Mein Baqaidigi
    Woh mian biwi jo jawani mein week mein 1 or 2 times mubashrat (intercourse) sey lutfandoz hotey hain, wohi burhapey mein bhi sex sey lutfandoz ho saktey hain. Jawani mein aap jitna zyada sex karein gey, burhapey mein aap kay zakar kay tissues itney hi sehat mand hongey. Woh mian biwi jo jawani mein ek month mein 1 or 2 time jinsi sargarmiyun mein hissa letey hain woh burhapey mein bohut mushkil sey lutfandoz hotey hain.

Burhapey mein prostate problem ka masla aam hai. 50 saak ki umar kay baad 33% mardon ka prostate barh jata hai ya cancer ho jata hai. Burhapey mein baqaida jinsi sargarmiyun ki wajah sey mardon mein prostate aur hernia kay masael bohut kam ho jatey hain.

Erection Problems - Tanau Ka Masla

Darmiyani umar mein kuch minute mein tanau (erection) hasil ho jata hai jab kay burhapey mein zyada der lagti hai. Baaz auqat to biwi ko hath sey zakar ko mushta'el karna parta hai. Chunancha burhapey mein mard ko bhi taweel foreplay ki zaroorat hoti hai aur inzal kay baad sara tanau foran khatam ho jata hai. Dubara tanau hasil karney mein zyada waqt ki zaroorat hoti hai. Burhapey mein mani (semen) ki miqdar kam ho jati hai aur iss ka ikhraj bhi zyada force sey nahi hota. Yani mani (semen) kam tezi sey nikalti hai. Mani (semen) ka rung white kay bajaey kuch yellow sa ho jata hai aur ya nisbatan patli hoti hai yeh sab kuch normal hai.

Burhapey mein bohut sey mardon ko (Erection problems) tanau ka masla hota hai. Iss ki wajah burhapa nahi bul kay koi beemari hoti hai, maslan dil ki beemari, blood pressure ki beemari, sugar ki beemari, prostrate allergy, Depression aur ulcer ki adviyat. Iss kay elawa sukoon aawar aur bhook ko khatam karney wali adviyat, cigarette noshi aur sharab noshi bhi ahem wajah hai. Erection problems ko hal karney kay liye Eric Aid system ko use kya ja sakta hai. Viagra sey bhi madad li ja sakti hai. Magar dil kay amraz waley afraad kay liye Viagra mohlik hoti hai. Bohut sey mard iss tarhan bhi munasib tanau (erection) hasil kar letey hain kay woh kam erect zakar ko chiknaa kar kay faraj mein dal detey hain phir achanak strokes laganay sey inn ko maqool tanau (erection) hasil ho jata hai umar kay zyada honay kay sath baaz afraad kay zakar ki lachak mein kami aa jati hai jis ki wajah sey zakar poori tarhan nahi phaelta aur lambaee aur choraee mein chota ho jata hai. Yeh tabdeeli bhi erection problems (tanau ka masla) paeda kar deti hai. Tahem sex sey lutf andoz honay kay liye mubashrat (intercourse) zaroori hai aur na hi inzal. Iss sorat mein foreplay sey lutf uthaya ja sakta hai.

Sex And Old Age - Burhapa Aur Jinsi Zindagi

Badqismati sey humarey yahan burhapey ki jinsi sargarmiyon kay hawaley sey logon ki raey bilkul manfi hai. 70 year old mian biwi ki jinsi sargarmiyun ko bohut ghaer shaista samjha jata hai aur iss umar mein mushtzani ko to bohut hi bura samjha jata hai. Bohut sey 70 year kay afraad biwi kay adam taa'wwun ki wajah sey mushtzani per majboor hain. Aam logon ka khayal hai kay burhapey mein fard jinsi amal kay qabil hi nahi rehta. Aksar boorhey iss ghalat khayal ki wajah sey apni jinsi sargarmiyun ko rok deytey hain, jis ki wajah sey woh kuch arsa baad jinsi amal kay qabil hi nahi rehtey kyun kay jis cheez ko use naa kiya jaey (jismani aaza etc) to kuch arsa baad woh use kay qabil nahi rehti. Use it or lose it. Jab kay haqeeqat yeh hai ka boorhey logon ko bhi jawanon ki tarhan sex ki zaroorat hai. Aurat ki sehat kay liye orgasm ek mufeed cheez hai. Agar mian biwi sehat mand hun to woh martey dam tak jinsi amal kay qabil hotey hain.

Burhapey mein majmoee tor per fard ki jismani karkardigi mein kami waqai ho jati hai. Burhapey mein woh tez nahi bhag sakta bul kay ahista chalta hai. Zyada wazan nahi utha sakta. Isi tarhan iss ki jinsi sargarmiyun mein bhi kami waqai ho jati hai. 80 year kay baad buniyadi jinsi hormone testosterone (jis ka ta'alluq tanau (erection) aur jinsi khwahish kay sath hota hai) ki paedawar mein 20 saal ki umar ki nisbat 66% tak kami waqai ho jati hai. Jis ki wajah sey fard ki jinsi khwahish mein kuch kami ho jati hai. Iss kay elawa tanau (erection) bhi jawani ki tarhan sakht nahi hoti magar dakhool kay qabil hoti hai. Fard ko tanau (erection) hasil karney mein bhi zyada waqt lagta hai. Jawani mein mard foran tanau (erection) hasil kar leta hai.

Burhapa Aur Jinsi Zindagi
(Sex And Old Age)


Hakeemo'n ki ek baat bilkul sach hai kay mard kabhi boorha nahi hota. Agar ek mard jismani aur zehni lehaz sey sehatmand hai to woh martey dam tak jinsi amal kay qabil hota hai. Ek research kay mutabiq 37% burhapey 60year ki umar kay baad week mein 1 time zaroor sex sey lutf andoz hotey hain. Burhapey kay jinsi amal mein inzal zaroori nahi hota. Master And Johnson kay mutabiq 60 sey 70 year kay logon mein 25 sey 30% boorhey haftey mein 1 baar zaroor mubaashirat (intercourse) kartey hain. Ek survey kay mutabiq 50 sey 80 year ki umar mein aksar khawateen aur taqreeban sarey mard sex mein dilschaspi rakhtey hain. Ek research mein sehatmand boorhey jin ki umar 80 aur 102 year kay darmiyan thi, jinsi zindagi ka jaeysza liye gaya to maloom hua kay inn mein 30% aurtein aur 62 % mard ab bhi mubaashirat (intercourse) kartey hain. Albatta baaz bemariyan maslan joron kay dard, doosrey daemi dard, sugar, dil kay amraaz, peeshab per control ki kami aur heart attack etc sex sey lutfandoz honay mein kuch rukawat sabit hotey hain. Bar bar kay survy sey yeh baat sabit ho chuki hai kay burhapey mein log sex ko hamesha sey zyada enjoy kartey hain. Kyun kay in ko inzal per zyada control hota hai.

Birth Control Methods - Male Sterilization

3. Mard Ki Nasbandi (Male Sterilization)

Iss tariqa mein local anesthesia dey kar mamooli sa operation kar dya jata hai. Iss sey mard ki mardana quwqat kisi bhi tarhan muta'assir nahi hoti. Male Sterilization ki kamiyabi ki sharah 100% hai iss kay koi khaas side effects bhi nahi hain. Hasb e zaroorat iss operation ko reverse kya ja sakta hai yani mard dubara aulad paeda karney kay qabil ho jata hai magar iss ki kamiyabi ki sharah har year kam hoti jati hai operation kay ek year baad kamiyabi ki sharah taqreeban 90% aur 5 year kay baad sirf 30% reh jaati hai. Aksar doctor pregnancy rokney kay liye aurat kay bajaey Male Sterilization ki sifarish kartey hain, kyun kay aurat ka sterilization ka operation qadrey paecheeda hai aur issey mustaqil hi samjha jata hai agarcha isey bhi reverse kya ja sakta hai magar iss ki kamiyabi ki sharah kam hai.

4. Ba'eza raezi Kay Qareeb Mubashrat Sey Bachna

Ba'eza raezi kay qareeb agar mubashrat (intercourse) naa ki jaey to bhi pregnancy kay imkanat bohut kam ho jatey hain. Yeh koi 10 days bantey hain iss tariqey ki tafseel hamari doosri book " mein mojood hai.

Aurat ki sterilization, pregnancy roknay ki khanay wali medicine, Diaphragm, Manaa hamal foam, cream aur jelly aur faraj ka dhona.

Birth Control Methods - Condom

Hazrat Jabir farmatey hain kay ham uzul kartey they, halan kay Quran Majeed kay nuzool ka silsila jari tha. (Ghazi)

Ek doosri hadees mein Hazrat Sufiyan wazahat kartey huey farmatey hain agar yeh koi aisi cheez hoti jis sey manaa kya jana zaroori hota to Quran Kareem hum ko iss sey manaa karta. (Muslim)

Inn ahadees sey malum hota hai kay Islam mein uzul sey manaa nahi kya gaya aur uzul kay bawajood bacha paeda ho sakta hai. Mazkoora aur baaz doosri ahadees ki roshni mein fuqha ki ek jamat nay uzul ko jaez qarar diya hai jab kay baaz doosrey fuqah nay isey makruh qarar dya hai. Condom ka use uzul sey mushaba hai isi liye baaz ulma kay nazdeek Birth control (zabt e wiladat) ki gunjaesh nikalti hai. Jab kay baaz doosrey ulma kay nazdeek islam mein Birth control ki ijazat nahi.

2. Condom

Mardon mein pregnancy rokney kay liye sab sey zyada use honay wala tariqa yehi hai. Iss mein mard mubashrat (intercourse) sey pehley ek rubber kay ghilaf ko zakar kay ooper charha leta hai ta kay iss ka ikhraj faraj kay ander naa ho bul kay condom mein ho iss tarhan aurat ko pregnancy nahi hogi. Yeh bhi 100% kamiyab tariqa nahi. Iss mein nakami ki sharah 10% sey 26% tak hai. agar iss kay sath biwi pregnancy rokney kay liye cream ya diaphragm use karey to kamiyabi ki sharah 100% ho jati hai Condom ka use jinsi bemariyon sey bachney ka ek useful tariqa hai.

Birth Control Methods - Withdrawal - Uzul

Withdrawal (uzul) Birth control ka sab sey qadeem tariqa hai magar ab bhi puri duniya mein use ho raha hai. Birth control ka yeh koi bohut useful tariqa nahi hai. Iss ki nakami ki sharah 25% hai.

Yeh baat Allah Ta'ala kay nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney 1400 year pehley batadi thee. Sahaba e karam ney uzul (withdrawal) kay barey mein sawal kya kay uzul karna kaisa hai. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay kya tum aisa kartey ho 3 bar yehi farmaya. Phir farmaya kay jo jan qayamat tak duniya mein aanay wali hai woh zaror aaey gi. (Bukhari)

Inzal sey pehley jinsi uruj mein mani kay chand qatrey nikal jatey hain inn mein bhi sperm ho saktey hain. Iss sey bacha paeda ho sakta hai. Baaz auqat mard jinsi jazbaat ki shiddat ki wajah sey zakar ko baher nikaltey huey inzal ho jata hai. Iss mein inzal faraj kay ander to nahi hota magar iss kay ooper ho jata hai jis ki wajah sey sperm faraj kay ander ja saktey hain. Baaz auqat fard zakar ko baher nikal hi nahi pata aur roknay kay bawajood faraj kay ander hi inzal ho jata hai. Baaz auqat iss wajah sey fard early inzal ka shikar ho jata hai.Withdrawal (uzul) ki wajah sey mard sex sey bharpoor lutf andoz nahi hota. Kyun kay iss ka dheyan inzal ki taraf hi rehta hai aur lutf ki taraf kam tahem iss tariqey kay koi burey asraat nahi hain.

Allah Ta'ala kay piyarey Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay daur mein sahaba karamWithdrawal (uzul) kartey thay.