Pages

Friday 5 August 2011

Masturbation Is Not Harmful

Hala'n kay haqeeqat yeh hai kay bhook pyas ki tarah jinsi taskeen ek fitri taqaza hai) beenaee kamzor ho jati hai, hafiza khatam ho jata hai, fard chakkar ya sergirani (dizziness) mehsoos karta hai. Mirgi kay daurey partey hain, fard shadeed zehni amraaz (psychosis), dil kay amraaz aur aqal ki kami ka shikar ho jata hai. Mu'nh per daaney nikal aur jism per mokey (warts) aa jatey hain. Fard ganjey pan aur sharmeeley pan mein mubtala ho jata hai. Maghrib aur doosrey taraqqi yafta mumalik mein to jadeed tehqeeq ki roshni mein naujawanon ko ma'aloom ho chukka hai kay musht zani kay muqsan ki koi haqeeqat nahi. Yeh jahalat kay daur ki baatein thiin magar budqismati sey hum abhi tak isi daur mein reh rahey hain.

Musht zani Nuqsandeh Nahin (Masturbation Is Not Harmful)

Haqeeqat yeh hai kay khud lazzati/musht zani kay kisi bhi tarah kay koi burey asraat nahin hain, yani yeh amal fard ki zehni, jismani aur jinsi sehat kay liye hargiz hargiz nuqsandeh nahin. Agar khud lazzati/musht zani waqaee nuqsandeh hoti to aksar logon kay hathon per baal hotey, ser ganjey hotey, chehrey phunsiyon aur daano'n sey bharey hotey. Aksaryat ko mirgi kay daurey partey aur pagal hotey. Ausat umer kam hoti j okay ab 32 saal sey barh kar 56 saal ho chuki hai. Zakar ki laghari aur kaji ki wajah sey aksar mardon ki biwiyan bhaag gaee hotiin. Charon taraf nazar doraein kya waqaee aisa hai, zahir hai kay aisa nahin. Ba'az log kehtey hain ek hudd tak to musht zani kay koi nuqsan nahin magar agar yeh hudd sey barh jaey to phir yeh nuqsandeh hai.

No comments:

Post a Comment