Pages

Friday 5 August 2011

Harms Of Masturbation

Mojood ilm aur tehqeeq ki roshni mein yeh baat poorey aetmaad aur da'awey sey ki jasakti hai kay musht zani kay kisi bhi tarah kay koi nuqsaanaat nahin bul kay ba'az mahireen kay mutabiq to musht zani ek mufeed amal hai. Jis sey insaan ko jinsi taskeen, sukoon, raahat (relief) aur tasalli (satisfaction) hasil hoti hai. Jis sey fard ko jismani aur zehni falah (well being) bhi hasil hoti hai. Musht zani (Masturbation) sey sey fard ko wahi isterahat (relaxation) hasil hoti hai jo inssan ko mubashrat ya mazaeydaar khaney kay ba'ad hasil hoti hai, yani aurton aur mardon kay liye musht zani jinsi aur zehni sukoon ka ba'es hai. Mereey bohut sey clients apni tension aur zehni dabau (stress) ko khatam karney kay liye musht zani ka zarya ikhtiyar kartey hain. Iss sey ionko sukoon milta hai, lekin agar fard ko ehsaas-e-gunaah ho to usey jinsi tasalli ) to zaroor hasil hoti hai magar zehni sukoon nahin milta.

Ba'az mahireen ka khayal hai kay musht zani (Masturbation) jinsi ehsasaat (feelings) aur salahiyat (capability) mein izafa karti hai kyun kay Khuda ney insani jism ko kuch iss tarah banaya hai kay iss kay jo hissey zyada istaemaal hotey hain woh zyada mazboot aur sehat mand hotey hain maslan lambi daur, daurney waley afraad ki taangein aam logon sey zyada mazboot, sehatmand aur muscular hongi, isi tarah mushaqqat ki wajah sey ek mazdoor kay bazu aur seena nisbatan zyada mazboot aur muscular hongey. Isi tarah musht zani sey jinsi salahiyat mein izafa hota hai.

No comments:

Post a Comment