Pages

Saturday 13 August 2011

Menopause And Sexuality - Low Libido In Women

Menopause kay doran jinsi sargarmi rokney ki zaroorat nahi. Aurton mein usually mukhtasir daur kay liye jinsi khwahish mein kami ho jati hai. Yeh khwahish bilkul khatam nahi hoti. Kyun kay jinsi khwahish ka ta'alluq male jinsi hormone kay sath hai jo sari zindagi paeda hota rehta hai. Chunancha aurat mein jinsi khwahish hamesha mojood rehti hai. Iss age mein kyun kay ka khauf nahi hota iss wajah sey aksar khawateen (Intercourse) sey zyada lutf andoz hoti hain. Menopause ki aksar tabdeeliyon ki wajah estrogen ki kami hai. Lehaza kisi achey doctor ki wajah sey iss kami ko pura kya ja satka hai. Jis ki wajah sey bohut sey symptoms khatam ho saktey hain.

Menopause ki age different aurton mein different hoti hai. Menopause ki America mein average age 51 saal hai jab kay wahan aurat ki average age 79 saal hai. Ek thori ta'adad ki menopause ki age 40 saal sey kam hai. Kam umer mein menopause ki wajah poverty, aulad na hona, motapa, der sey baligh hona aur heredity waghaera hai. Kabhi kabhi aurtein 60 saal ki ibtedai daur (62,63 saal) mein menopause tak pohonchti hai. Hamarey yahan ek andazey kay mutabiq menopause ki ek average age 45 saal hai. America mein 50% aurtein 50 saal ki umer kay baad bacha paeda nahi kar sakti. Sirf 5% aurtein 55 saal ki umer kay baad bhi pregnant ho sakti hai. (Hyde)

No comments:

Post a Comment