Pages

Monday 8 August 2011

Adumdakhool


Chund din pehlay merey paas ek khoobsurat jora aaya unki shaadi ko derh saal sey bhi zyada arsa ho gaya tha magar abhi tak mubaashirat mukammal nahin ho saki thi jab bhi mubashrat ki koshish hoti to biwi khaufzada ho jati uska jism akarr jata jiski wajah sey dakhool na mumkin ho jata. Shaadi kay ibteda'ee dinon mein dakhool kay liye biwi ka ta'awwun aur rehmunaee bohut zaroori hai iss kay baghaer dakhool na mumkin hai bar bar ki naakaam koshish kay ba'ad khawand ney mehsoos karna shuru kar diya shayad woh jismani tor per kamzor hai aur mubaashirat kay qabil nahin. Ab woh shadeed depression ka shikaar ho gaya uski jinsi dilchaspi kam ho gaee khusoosan biwi ko dekh kar uss kay jazbaat mein koi garmi paeda hona bund ho gaee uss ney ka'ee baar khudkushi ka bhi socha.

Mian biwi kay tafseeli interview kay ba'ad ilm hua kay masla usey nahin uski biwi ko hai yeh baat sunn kar woh kafi relax ho gaya yani biwi iss beemari ka shikaar thi jab uska tajziya kya gaya to ma'aloom hua kay uss ney apni sahaeliyon aur cousins sey sunn rakha tha kay mubashrat aur bachey ki paeda'esh ek bohut takleef deh amar hai le'haza uss ney socha kay woh to iss surat main shaadi na kar sakey gi uss ney bataya kay woh haeraan thi kay itna bara zakar faraj mein dakhil kaisey hoga.

(adumdakhool) mein faraj kay mu'nh kay ird gird kay patthey ghaer iraadi tor per sukarr jatey hain jiski wajah sey dakhool na mumkin ho jata hai yeh aurtein jinsi le'haz sey bilkul theek hoti hain sex sey lutfandoz hoti hain aisey a'aamaal jinka aakhri nateeja mubashrat na ho uss sey lutf uthati hain.

No comments:

Post a Comment