Pages

Monday 8 August 2011

Give importance To Wife - Biwi Ko Ahmiyat Dein 4

Brave banayn, ghalti ke aiteraf sey naa sirf ghar ka mahol behtar hota hai bul kay dosron kay dil mein aap ke liye izat-o-ahteram mein izafa hota hai.

33. Biwi ke liye iss tarah kay words "hamissha ya kabhi nahi" kabhi use naa karein. Yeh hullaat ko kharab karte hain. Maslan agar biwi ne ek din shoiss polish nahi kiye to yeh naa kahen ke aap kabhi shoiss polish nahi karten. Ya aap khanaa hamissha deyr sey deti hain.

34. Biwi ki burai naa karein. Khas tor par logon ke saamney us ko bura naa kahen. Bura kehne ke bajaey yeh dekhain ke jo kuch ho raha hai iss ke reasons kiya hain phir en ko control karein.

35. Biwi ko bar bar acha kahen. Iss ki mamooli achi baat ki bhi tareef karein. Acha kah kar issko acha bannay ka moqa den. Kisi ko bura keh kar aap iss ke acha banay kay doors band kar dete hain. Biwi ko wesa hi samajh kar sulook karein jissa aap chahte hain ke woh ho. Woh waisi hi ho jayegi.

36. Biwi ki khamiyun ko khobiyun mein badal kar bayan karein. Maslan us ko budhu ya bewaqoof kehnay ke bajaey bholi aur sedhi kahain.

37. Ek dosre se dor jane kay bajaey ek dosre ke qareeb aen. Ek dosre ki sohbaat sey lutfandoz hun. Daily kuch hours mil kar kaam karen. Newspaper ek saath parhen. News par ek dosre ki pasand kay comments karen. Tv ek saath dekhain. Walk aur Shopping mil kar karein. Common hobby sey donon mil kar enjoy karein.

No comments:

Post a Comment