Pages

Monday 8 August 2011

Hamal Aur Mubashrat

Pregnancy And Intercourse

Hamal ka arsa 9 maah per mushtamil hota hai itna arsa amooman kisi bhi mard kay liye jinsi amal sey perhaez karna bohut mushkil hai, khwateen mein bhi jinsi khwahish maand nahin parti bul kay 80% khwateen ki jinsi khwahish mein hamal ki doosri seh maahi (4 ta 6 maah) mein izaafa hojata hai. Agarcha aakhri 3 maah mein aksar khwateen ki jinsi khwahish aur dilchaspi kam ho jati hai. Master & Johnson ki research kay mutabiq ek sehat mand haamla aurat kay sath bachey ki paedae'sh sey 4 haftey qabal tak mehfooz tor per mubashrat ki ja sakti hai. Ba'az afraad to aakhri din tak bhi mubashrat jari rakhtey hain Master & Johnson kay mutabiq bachey ki paedae'sh kay 3 haftey ba'ad aurat sehatyaab ho jati hai aur uss sey mubashrat ki jasakti hai iss doran uski jinsi khwahish wapis aa jati hai.

Woh khawateen jo miscarriage ya abortion ka tajurba kar chuki hain unn kay liye yeh behter hai kay woh hamal kay poorey arsey mein khusoosan pehley chund hafton aur aakhri hafton mein mubashrat aur doosri jinsi sargarmi jis kay nateejey mein aurat orgasm hasil karey, bachna chahiyie kyun kay orgasm ki hamil jinsi sargarmi sey miscarriage ka khatra barh jata hai.

No comments:

Post a Comment