Pages

Sunday 7 August 2011

Sexual Peak For Women - Khawateen Ka Orgasm Hasil Karna

Jahan tak khawateen ) ka ta'alluq hai har aurat hamesha orgasm hasil nahi karti. Ek American survey sey malum hua hai kay wahan 30% aurtein hamesha orgasm hasil karti hain aur 10% kabhi orgasm hasil nahi kartin. Baqi kabhi hasil karti hain aur kabhi nahi. Europe ki ek research sey maloom hua kay wahan 38% aurtein hamesha orgasm hasil karti hain. Mazeed 33% - 50% aksar auqat orgasm hasil karleti hain. Aurtein amooman 30 saal ki umar kay baad ziyada orgasm hasil karti hain. Kinsey kay survey sey maloom hota hai kay 50% sey ziyada aurtein 90% auqat mein orgasm hasil karti hain. (Orgasm) hasil karney wali (khawateen) 100 mein sey 98 bar bazer (clitoris) kay direct stimulation sey orgasm hasil karti hain. Mahireen ka khayal hai kay agar aurat kay jism mein koi kharabi naa ho jo ka bohut hi kam hoti hai to woh har baar orgasm hasil kar sakti hai albatta kuch ko baqaida tarbiyat hasil karni perti hai. Kinsey kay ek survey sey pata chala kay 30% khawateen shadi kay shuru mein (first year) orgasm hasil nahi kar patiin. Bohut si aurtein pehli bar orgasm hasil nahi kartin.

Khawateen amooman 7 roots maslan bazer (clitoris), G Spot, faraj kay beroni hissey, peroo, moons area, pistaan kay stimulation sey orgasm hasil karti hain. Baaz khawateen sirf tasawwur ki madad sey

No comments:

Post a Comment