Pages

Friday 26 August 2011

Pregnancy And Intercourse

Iss sey maloom hua kay aulad ki jins ka inhisar mard per hai naa kay aurat per. Albatta agar aurat ki faraj mein tezabiyat zyada ho to naszuk Y chromosome mar jatey hain.

Dr. Shettles Method ki buniyad iss baat per hai kay mubashrat (intercourse) jitni ba'eza raezi kay qareeb hogi itna hi betey kay imkanaat hongay. Iss kay elawa baaz doosrey anaasir bhi bohut ahem hain. Maslan kam sperms ki tadaad, agar sperm ki tadaad zyada hogi to larkay kay imkanaat zyada hongay aur agar sperms ki tadaad kam hogi to larki kay imkanaat zyada ho jatey hain. Iss kay elawa mubashrat (intercourse) ka tariqa bhi ahem hai. Mubashrat (intercourse) ka aisa tariqa ikhtiyar kiya jaey jis mein sperms jald muta'alliqa qazif naali mein chaley jaein. Hum Dr. Shettles Method use kartey hain hamari kamiyabi ki sharah 90% sey zyada hai.

Hamal Aur Mubashrat (Pregnancy And Intercourse)

Hamal ka arsa 9 month per muheet hota hai. Itnaa arsa amooman kisi bhi mard kay liye jinsi amal sey perhaez karna bohut mushkil hai. Khawateen mein bhi jinsi khwahish mand nahi parti. Bul kay 90% khawateen ki jinsi khwahish mein hamal ki doosri seh mahi (4 – 6 month) mein izafa ho jata hai. Agarcha last 3 month mein aksar khawateen ki jinsi khwahish aur dilchaspi kam ho jati hai. Master And Johnson ki research kay mutabiq ek sehat mand hamla aurat kay sath bachey ki paeda'esh sey 4 week qabal tak mehfooz tor per mubashrat (intercourse) ki ja sakti hai. Baaz afraad to last din tak bhi mubashrat (intercourse) jari rakhtey hain.

No comments:

Post a Comment