Pages

Friday 26 August 2011

Infertility In Men

Delivery kay baad aurat kay jinsi response mein 50% kami aa jati hai. Magar 3 weeks kay baad iss ki jinsi khwahish wapis aa jati hai aur woh normal hojati hai. Jaisey kay pehley bataya ja chuka hai kay Master aur Johnson kay mutabiq delivery kay 3 weeks baad mubashrat (intercourse) ki ja sakti hai lekin agar aurat ko blood aa raha hai ya operation hua ho to blood kay band honay aur zakham kay sahi honay ka wait karna chahiyie.


Jaisa kay peechey bataya ja chuka hai kay agar rozana ya ek din chor kar baeza raezi kay kareeb humarey bataey gaey tariqey kay mutabiq mubashrat (intercourse) ki jaey aur phir bhi ek saal mein pregnancy na ho to ghalib imkaan yehi hai kay mian biwi mein sey koi ek ya donon banjh hain. American research kay mutabiq wahan 12% log aulad paeda karney kay qabil nahi. Ek research sey maloom hua kay infertility waley afraad mein sey 33% mardon mein naqs hai aur 33% aurton mein aur baqi donon mein. Ek doosri research kay mutabiq 40% mard infertility ka shikar hain.

Ooper bataey gaey tariqey per amal karney kay bawajood agar biwi ek year kay baad bhi pregnant nahi hoti to masla ki wajah jannay kay liye sab sey pehley mard apney aap ko check karey. Mard mein banjhpan (infertility in men) ki amooman 2 reasons hotey hain.

  • Sehatmand sperms hotey hi nahi.
  • Sehatmand sperms ki tadaad kam hoti hai

No comments:

Post a Comment