Pages

Thursday 25 August 2011

Family Environment - Gharelu Pur Kashish Mahol

lekin agar aap apney parents ki zindagi ka jaeyza leyn to aap iss haqeeqat ko jan leyngai aap nay dekha hoga ka agar aap kay ghar ka mahool khushgawar hai to aap kay father ki zindagi mein jitni ahmiyat inki biwi bachun ko hasil hai etni sisters aur brothers ko nahi. Yani aap kay father apney khandaan ko sab sey ziyada ahmiyat deytai hun gai. Agar aap kay father doosrey logon khusoosan sisters brothers ko ziyada ahmiyat deytai hain to yeh baat dawai kay saath kahi ja sakti hai ka aap kay ghar ka mahool bohut khushgawar aur pursukoon nahi.

87. Ghar mein ek box rakha jaey jis mein ghar kay mahool ko behtar banaanay ki tajweez dali jaeyn. Ghar ka har fard ghar ko behtar banaanay kay liye tajaweez dey. Tajaweez deynay waley kay liye apnaa naam likhnaa zaroori nahi. Aap har month yiss box ko kholeyn. Tajaweez per thathey dil-o-demagh sey ghor karein phir achi tajaweez per amal karein.

88. Ghar mein har month ek meeting ho jis mein ghar kay tamam samaj daar afraad shamil hun. Isi meeting mein gharelo masa'el ko discuss kiya jaey aur enhain hull karney kay liye tajaweez de jaeyn. Iss kay elawa ghar kay mahool ko kharab karney waley cheezon ki nishan dahi ki jaey aur iss mahol ko ziyada pur sukoon aur khushgawar banaanay kay liye tajaweez bhi de jaeyn. Iss tarhan jo tajaweez bhi mileyn en ka jaeyza liye jaey aur qabil-e-amal tajaweez per amal kiya jaey.

No comments:

Post a Comment