Pages

Friday 26 August 2011

Sex Education For Children
Hum jinsiyat (homosexuality) na sirf gunah hai bul kay khatarnak jinsi bemariyon khusoosan AIDS waghaera kay phaelney ka mu'asser zarya hai. Kya naujawan nasal ko iss baat ka ilm nahin hona chahiyie kay mian biwi kay jinsi ta'alluqaat per sharmindagi ki koi baat nahin, yeh koi buri cheez nahin. Allah kay nabi ney biwi kay sath mubaashirat ko naeki aur sadqa qaraar diya hai. Iss tarah kyalarkiyon ko yeh ilm nahin hona chahiyie kayhaez koi bemari nahin bul kay ek fitri cheez hai jo inn ki baloghat aur takmeel ki alamat hai. Kya bachiyon ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay leucorrhea koi beemari nahin.

Agar aap bachon ko Quran o sunnah aur jadeed ilm ki roshni mein khud jinsi ta'aleem nahin deingey to bachey yeh ma'aloomat apney doston, deewaro'n per ishtehaaraat aur ghaer meyari kutub sey hasil kareingey jo taqreeban 100% ghalat aur gumrahkun hoti hain. Ek research kay mutabiq bachey taqreeban 50% jinsi ma'aloomat doston aur 21% kutub sey hasil kartey hain(Hyde). Budqismati sey bacho'n kay doston ki ma'aloomaat durust hoti hain na hi humarey haan iss mozou per meyaru kutub mojood hain.

Iss hawaley sey ek sawal yeh paeda hota hai kay bachon ko jinsi taleem kab dii jaey. Iss silsiley mein Quran majeed sey rehnumaee milti hai. Who bachey jinki madri zuban urdu hai woh ju'nhi Quran Majeed parhna shuru kartey hain unn ki sex education bhi shuru ho jati hai. Amooman bachey 9 ya 10 saal ki umer mein Quran majeed parhna shuru kar detey hain. Mashhoor huftroza Time kay ek survey kay mutabiq awam ki aksaryat ka khayal hai kay jinsi ta'aleem 12 saal ki umer sey shuru ho jab kay walaedaen ka khayal hai kay bachon ki jinsi ta'aleem baloghat sey pehley shuru nahin honi chahiyie magar haqeeqat yeh hai kay bacha apni jinsi ta'aleem apney ibtedaee saalon mein shuru kar deta hai

No comments:

Post a Comment