Pages

Monday 8 August 2011

Low Libido Physical Reasons - Lack Of Sexual Desire

4. Adviyaat (medicines)

Ba'az adviyaat kay musalsal istaemaal sey bhi ka masla paeda ho jata hai, ki adviyat kay musalsal istaemaal sey yeh masla paeda ho sakta hai agarcha adviyaat ka asar tamaam afraad per ek jaisa nahin hota. Kisi per kam aur kisi per zyada aur kisi per bilkul nahin hota iss surat mein dawa chorney ki bajaey doctor sey raabta kya jaey taa' kay woh koi mutabadil dawa tajweez kar sakey jo jinsi khwahish (sexual desire) ko muta'assir na karti ho.

5. Hamal Aur Bachey Ki Paeda'esh (pregnancy and childbirth)

l kay doran aur bachey ki paeda'esh kay ba'ad bohut si aurton ki jinsi khwahish (libido) kam ho jati hai hamal kay ibtedaee dinon mein ba'az khawateen matli mehsoos karti hain jis ki wajah sey jinsi khwahish (sexual desire) kam ho jati hai. Bachey ki paeda'esh kay ba'ad bhi aurat jinsi dilchaspi mein kami mehsoos karti hai aur yeh masla do maah sey do saal tak reh sakta hai. Bohut si khawateen bachey ki paeda'esh kay ba'ad depression ka shikar ho jati hain aur yeh depression jinsi khwahish mein kami ka sabab ban jata hai ba'az auqaat bachey ki paeda'esh operation sey hoti hai aur zakhm mundamil nahin hota jis ki wajah sey jinsi dilchaspi (libido) mein kami waqa'e ho jati hai.

Jinsi Jazbaat Ki Bahaali

Jinsi jazbaat ki bahaali kay liye zaroori hai kay sab sey pehley yeh ma'aloom kya jaey kay masley ki wajah kya hai jab wajah ma'aloom ho jaey to masley ko hal karna aasaan ho jata hai.

No comments:

Post a Comment