Pages

Sunday 21 August 2011

Female Masturbation - Khawateen Mein Musht Zani

Hite kay survey kay mutabiq 82% American khawateen(female masturbation) karti hain jab kay 95% hasil kar leti hain. Interesting baat yeh hai kay mard baloghat kay ibtedai daur mein zyada musht zani (masturbation) kartey hain jab kay American khawateen zyada tar 30 years ki age kay baad musht zani (masturbation) karti hain. Ek aur survey kay mutabiq America mein musht zani (masturbation) karney wali 18 years ki girls ki taadaad 59% hai jab kay 18 years kay boys ki ta'adad 80% hai. Ek aur report kay mutabiq west mein zyada ter khawateen 40 ya 50 years ki age mein zyada musht zani (masturbation) karti hain. 1985 ki ek research ka mutabiq America mein 66% un-married aur 56% married khawateen musht zani (masturbation) karti hain.

America mein aurton ko musht zani (masturbation) ki baqaida training di jati hai takay agar husband wife ko satisfy na kar sakey to woh khud hi apney aap ko jinsi sukoon muhayya kar lein. Pakistan mein khawateen mein musht zani (masturbation) ki aadat kam hai. Merey paas sirf ek larki iss masley kay elaj kay liye aaee. Tahem meri ek student khatoon mahir e nafsiyat ka khayal hai kay hamarey yahan bhi khawateen mein musht zani (masturbation) kuch kam nahi. Aurtein mubashrat (Intercourse) mein taqreeban 5 to 10 minute mein orgasm hasil karti hain. Sherry Hite kay survey kay mutabiq musht zani (masturbation) mein aurtein usually 4 minutes mein orgasm hasil kar leti hain.

No comments:

Post a Comment