Pages

Sunday 21 August 2011

InfertilityIn Women - Baanjhpan

Jab kay test tube kay liye sirf 50,000 sperms ki zaroorat hai. Test tube mein amooman larki paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pehli test tube baby 1976 mein England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh sahoolat mojood hai. Aaj kal science ki taraqqi ki wajah sey sperms ki tadaad mein ezafa karna mumkin hai. Naujawano ko chahiyie kay shadi sey pehley apna sperm count check kara lein. Agar kam ho to kisi achey doctor sey adviyat (medicine) lein.

Aurton mein baanjhpan ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi fallopian tube band hoti hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayyar nahi hotey. Kabhi egg fallopian tube mein nahi utartey. Inn sab ka elaj mumkin hai. Lehaza shadi kay baad ki pareshanion sey bachney kay liye behter yehi hai kay larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalein aur agar zaroorat ho to elaj kara lein.

Jinsi Beemariyan: (Sexually Transmitted Diseases)

Aisi beemariyan jo jinsi milap kay zariye ek shakhs sey doosrey shakhs ko transfer ho jati hain. Yeh bohut si hain magar zyada ahem Gonorrhoea aur Syphillis hain. Yeh beemari azab e elahi hai. Yeh mardon aur aurton dono ko hojati hai. Yeh bhayanak beemariyan bachon ko bhi transfer hojati hai. Baaz auqat yeh beemariyan fori zahir nahi hoti bul kay kafi der kay baad zahir hoti hain.

No comments:

Post a Comment