Pages

Sunday 21 August 2011

Intercourse During Menses In Islam

Albatta istehaza mein na namaz maaf hai aur na rozey aur na hi haram hai.

Mahwaari (menses) mein aurat kay sath mubashrat (Intercourse) haram hai. 1990 ki ek American research sey maloom hua kay (menses) mein mubashrat (Intercourse) sey husband aur wife donon ko aids waghaera lagney ka khatra bohut zyada hojata hai. (Stefan) agar mubashrat (Intercourse) kar li jaey to sakht gunah hai. Quran mein irshad hai kay

"Aey mehboob tumsey Haez kay barey mein log sawal kartey hain tum farma do woh gandi cheez hai. To Haez mein aurton sey bacho. Inn sey qurbat na karo jab tak woh pak na ho lein. To jab pak ho jaein to unn kay paas uss jagah aoo jis ka Allah pak ney tumko hukum diya hai. Bey shak Allah dost rakhta hai toba karney walon ko aur dost rakhta hai pak honay walon ko" (Surah Baqra Ayat 222)

Issi tarhan Hazrat Ibn e Abbas sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay jab koi shakhs apni biwi sey Haez mein mubashrat karey to nisf denar sadqa dey. (Tirmizi)

Agarcha islam mein mahwaari (menses) mein aurat sey mubashrat (Intercourse) bilkul mana hai magar iss kay jism ka doosrey hisson sey lutf andoz honay ki ijazat hai. Hadees e Nabwi (SAW) hai kay


Hazrat Anas Bin Maalik farmatey hain kay yahoodion mein kisi aurat ko haez aata to isey na apney sath khilatey na apney sath gharon mein rakhtey. Sahaba ney Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey sawal kara to iss per Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney irshad farmaya mubashrat kay siwa har shaey karo.

No comments:

Post a Comment