Pages

Sunday 21 August 2011

Zakar Kay Size Sey Aulad Paeda Honay Ka Taalluq

Chotey Zakar Sey Aulaad Paeda Nahin Hoti…?

Merey clinic mein ek naujawan client aaya jo kay bohut fikrmand aur pareshan tha. Jis ki haal hi mein shadi hui thi woh pareshan iss liye tha kay uska zakar bohut chota tha. Uska khayal tha kay chotey zakar sey aulad paeda nahin hoti. Yeh ek bilkul ghalat tasawwur hai kay aulad ki paeda'esh kay liye lamba zakar hona zaroori hai. Mani (semen) ko agar chamach mein daal kar faraj (vagina) kay ander daal diya jaey to bhi bacha paeda ho jaey ga. Iss tarah chotey sey chota zakar bhi bachey ki paeda'esh mein koi rukawat nahin. Doosrey alfaz mein zakar kay size ka aulad ki paeda'esh kay sath koi ta'alluq nahin. (kothari)

Zakar Ka Mota Hona Zaroori Nahin

Zakar ki lambaee kay elawa bohut sey naujawan uski motaee kay hawaley sey bhi ghalat fehmi ka shikar aur pareshan hain. Inn ka khayal hai kay aurat kay bharpor jinsi lutf kay liye zakar ka mota hona zaroori hai. Iss mein bhi koi haqeeqat nahin. Zakar ki lambaee ki tarah zakar ki motaee bhi mukhtalif logon ki mukhtalif hoti hai. Faraj (vagina) darasal khali tube ya syringe ki tarah koi khula rasta nahin hai bul kay yeh ek bund gali hai jis ki donon deewarein aapas mein mili hoti hain. Jinsi haejaan mein faraj ka baerooni 2/3 hissa phool kar faraj kay mu'nh ko mazeed tung kar deta hai, iss soorat mein agar faraj kay ander suii bhi dakhil I jaey to aurat ko iss ka poora ehsaas ho ga. Lehaza kamyaab aur khushgawar mubaashirat kay liye zakar ki motaee ki koi khas ahmiyat nahin.

No comments:

Post a Comment