Pages

Sunday 21 August 2011

Post Micturation Dribble - Drops After Urine - Cure

Chu'nkay mani (seminal fluid) aur urine kay ikhraj ki ek hi naali hai chunacha jinsi tor per stimulate honay per urine sey pehley aur baad white material ka ikhraj ek normal process hai na kay koi beemari. Iss liye iss silsiley mein fikar mand honay ki koi zarorat nahi. Albatta agar sexual stimulation mein yeh liquid kharij nahi hota to yeh baat fikar ki hai.

Iss hawaley sey ek aur ahem baat zehen mein rahein kay inn qatron (drops) sey kaprey napak nahi hotey aur na hi iss seyfarz hojata hai. In qatron (drops) kay baad penis ko wash kar lena kafi hai. Dress ko dhoney ki zaroorat nahi. Inn per sirf paani chirrak diya jaey aur ghusl kay bajaey sirf wazoo kar liya jaey. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay ek sahabi ko yeh masla tha to Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey masla poocha gaya. Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya kay uzoo ko dho kar, kapron per paani spray karliya jaey aur wuzu kar liya jaey. (Muslim). In qatron ko usually mazzi kaha jata hai.

Peeshab Kay Qatrey (urine drops) Girna:

Kuch naujawan peeshab karney kay baad qatrey (urine drops) aaney ki shikayat kartey hain. Darasal urine ki nali na sirf lambi hoti hai bul kay seedhi nahi hoti bul kay iss ki shakal English kay letter S jaisi hoti hai, jis naujawan ki yeh naali zara zyada curve ho to iss kay nichley hissey mein urine kay kuch qatrey (drops) reh jatey hain. Yeh bhi koi beemari nahi aur na hi iss kay elaj ki zaroorat hai. (Zakir:Mobeen). Iss masley ko hal karnay ka aasan tareeqa yeh hai kay urine pas karney kay baad kuch second intizar karein takay sara urine achi tarhan kharij hojai.

No comments:

Post a Comment