Pages

Sunday 21 August 2011

Urine Problem In Men

Usually 6th week kay baad na sirf qatrey (drops) aana band hojatey hain bul kay insan ko inzal (ejaculation) per bhi control ho jata hai. Aur phir hasb e zarorat junhi muscles ko contract kara jaey ga inzal ruk jaey ga. 2 weeks ki mushq kay baad inzal bohut purlutf ho jata hai. Iss kay elawa yeh mushq digestive system ko bhi behtar karti hai.

Baaz auqat qatrey (drops) nikaltey hi nahi kyun kay check karna per kaprey khushk hotey hain. Iss soorat mein insan ko qatrey (drops) nikalney ka sirf ehsas aur wahem hota hai jab kay qatrey (drops) nikaltey nahi. Agar yeh wehem zyada ho to phir kisi psychiatrist sey elaj karain kyun kay yeh ek beemari hai jisko OCD kaha jata hai. (Mobeen).

Peeshab Ka Doodhiya-Pan Jinsi Kamzori Ki Alamat Hai:

Aik naujawan ka peeshab doodhiya hogaya aur essai yaqeen hogaya ka woh es wajha sey jinsi tor per kamzor hogaya, kyun ka neem hakeem esko shadeed jinsi beemari aur kamzori batakar nojawano ko khaufzada kartain hain. Us naujawan nai aik maroof homeo doctor sey elaj karaya magar kuch farkh na para. Es toran uski biwi usko chorka hamesha ka liye chali gai. Halankai es doodhiya pan ka sex aur mardana quwwat ka sath koi ta'alluq nahi. Neem hakeemo ka khayal hai ka yeh mani (semen) hai jo peeshab mein shamil hokar bai rahi hai aur chonkai mani (semen) khoon sey bhi zyada kemti hai lihaza es doodhiya pan ki wajha sey insan jismani aur jinsi tor per kamzor hojata hai. Yeh aik nihayat ghalat bat aur jehalat hai kyun ka mani (semen) aur peeshab kabhi akhatai nahi hosaktai, aam halat mein peeshab ki nali ka mu'nh band hota hai aur yeh sirf uss waqt khulta hai jab insan ko peeshab karna ho

No comments:

Post a Comment