Pages

Friday, 12 August 2011

Bath During Periods - Taking Bath During Menses

Mahwaari (menses) ka pain aksar nafsiyati hota hai. Aksar larkiyon nai suna hota hai kay mahwaari (menses) sey takleef hoti hai. Isliye woh mahwaari (menses) kay aghaz hi sey iss sey khauf zada hoti hain aur phir iss khauf ki wajha sey uterus mein stiffness aur takleef paeda hojati hai. Larkiyon ko yeh pata hona chahiya kay mahwaari (menses) koi takleef deh cheez nahi lehaza woh relax rahein. Iss sorat mein unko mahwaari (menses) ki takleef nahi hogi. Kuch khawateen ko mahwaari (menses) sey 2 ya 3 din pehley headache, backache, pait ka dard shuru ho jata hai aur inkay pistaan (Breast) swell ho jatey hain. Kuch khawateen ko puri mahwaari kay doran dard hota hai. Yeh sab kuch normal hai koi beemari nahi. Agar takleef kuch zyada ho to gynecologist sey contact karein.

Mahwaari Mein Nahana Khatarnak Hai?

(Bath During Periods - Taking Bath During Menses)

Hamarey yahan kam parhi likhi khawateen mein yeh baat bohut hi famous hai kay mahwaari mein nahaney (taking bath durng menses) aur organs ko pani waghaera sey saaf karney sey na sirf bohut si big beemariyan lag jati hain bul kay motapa bhi ho jata hai. Iss liye aksar khawateen inn dino pani sey perhaez karti hain. Halan kay mahwaari (menses) kay dinon mein larki ko daily apney jinsi aaza ki safaee khas tor per karni chahiyie. Achi tarhan safaee na karney sey khoon ka kuch na kuch hissa yahan per jum kar smell paeda kar sakta hai. Lagataar kaee din tak safaee na karney sey inflammation ho sakti hai. Kharish aur halkey zakhm bhi ho saktey hain. Mahwaari (menses) kay doran ghusl ya jismani safaee kay liye mosam kay mutabiq hot ya cold water use kya ja sakta hai. Iss silsiley mein kisi ghalat fehmi ka shikar nahi hona chahiyie kay mahwaari (menses) kay doran nahana khatarnak sabit ho sakta hai. (Kawal Dheer)

No comments:

Post a Comment