Pages

Friday, 12 August 2011

Precautions During Menses - Mahwaari Mein Ehtiyat

Iss ki khaber yahoodiyon ko pohnchi to kehney lagey kay Nabi hamari har baat kay khilaf karna chahta hai. (Muslim, Bukhari) Iss tarhan Hazrat Maaz Bin Jaber ney arz kya "Ya Hazrat Muhammad (P.B.U.H) meri aurat haez mein ho to merey liye kiya cheez iss sey halal hai. Farmaya tehband (Naaf) sey ooper aur iss sey bachna behtar hai. (Abu Dawood)

Mahwaari (menses) mein aurat kay liye har cheez jaez hai. Siwaey namaz, Roza, Khana e ka'aba kay ander jana aur iss ka tawaf karna, Sajda e shukar aur sajda e tilawat kay. Isi tarhan aisi aurat Quran ko na touch karey aur na hi parhey albatta quran sun sakti hai.

Mahwaari (menses) kay chund dino mein agar thori si ehtiyat (precautions) rakhi jaey to munasib hoga. Inn dinon mein neend theek aani chahiyie ta kay din kay waqt bey chaini mehsoos na ho. Larki agar mahwaari (menses) ko aam routine ki cheez samajh kay pareshan nahi hoti aur hamesha ki tarhan din bhar apney kamon mein masroof rehti hai to yaqeenan woh raat ko neend kay mazey lootey gi.

Mahwaari (menses) kay dino mein khoorak thori si change karli jaey. Aam dino kay muqabley mein larki ko solid ki jagah soft aur halki diet leni chahiyie. Milk, fruit juices aur pani ki zyada miqdar leni chahiyie. Green vegetables aur fruits ka zyada istemal karna chahiyie. Fried cheezon sey parhaez karna chahiyie. Diet sada aur digestible ho.

Mahwaari (menses) mein jism kay ander kuch khas qism kay glands secretion kharij kartey hain aur in ki wajah sey paseeney (sweat) sey halki smell aaney lagti hai. Jo na sirf apney aap ko bul kay doosron ko bhi buri lagti hai. Iss smell sey mehfooz rehney kay liye jism per perfumed powder ya phir body spray waghaera use kya ja sakta hai.

No comments:

Post a Comment